Tere baghair bhi yeh zindagi Fazool nahi Main jhut baat kahoon yeh mera Asool nahi Tere bhi dil main khalish hai to mujh se mil warna Yeh Bey Khaloos Muhabat mujhe Qabool nahi Qadam to rakha hai lakin yeh soch lo ab bhi Wafa ki rah main kanty Bhi hain sirf Phool nahi Main tere Jazb e Janoon ka yaqeen karoon kasy Ke tere Chahre pe Dasht e Talab ki Dhool nahi Main Arzoon ko seeny main Dafan ker loon gi Sawal kerna kisi se mera Asool nahi Kabhi wo Waqt, Udaasi main Lutf milta hai Kabhi wo Lamha, Khushi bhi koi Qabool nahi Ussy Qareeb se dekha to yeh Pata paya Wo Shookh itna bhi Na k Qabil e Hasool nahi
Bdal gai hai ye zindagi ab sabhi nazarey bdal gaye hain kahin pe moaje'n bdal gai hain kahin kinarey bdal gaye hai bdal gaya hai ab uska lehja ab uski ankhe'n bdal gai hain wo chand chehra hai ab bhi waisa mere sitarey bdal gaye hain mila hun tmse to yun laga hai k jaise donu hi ajnabi hon kabhi jo mjhko aziz-e-jaan they wo rishtey saarey bdal gaye is lye bhi mai sir jhuka kr teri nagri se chal para hun tha naaz jn pr kabhi mje bhi wo sb saharey bdal gaye hain
bdal gai hain ab uski aankhe'n sabhi nazarey bdal gaye hain k
... Read more »