Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta Mandiron se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai Hazaron khwab ankhon mei saja kar kuch nahi milta Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta Amal ki sookhti rag mei zara sa khoon shamil kar Mere humdam faqt batein bana kar kuch nahi milta Mujhe aksar sitaron se yeh awaz aati hai Kisike hijar mei neendein ganwa kar kuch nahi milta Jiggr ho jayega chalni yeh ankhein khoon royengi Ae dil Be faiz logon se nibah kar kuch nahi milta.
Hasratein poori karne ka mazaa kuchh aur hai, Teri baahon me marne ka mazaa kuchh aur hai; Peekar to madhosh sab hote hain aksar, Teri aankhon se peene ka mazaa kuchh aur hai; Manzil to paa leta yun to akela main bhi, Par tere saath chalne ka mazaa kuchh aur hai; Hanstey to sab hain mehfilon me humdum, Par rote huye muskuraane ka mazaa kuchh aur hai; Har aarzoo dil ki aaj ufaan par hai yun to, Par kuchh raaz chhupaane ka mazaa kuchh aur hai; Kuchh likh kar tu hamesha bhool jaata hai, Kabhi-Kabhi woh ghazal gun-gunaane ka mazaa kuchh aur hai!
khuli jo aankh tou woh tha na woh zamana tha dahakti aag thi tanhaai thi fasana tha ghamon ne baant liya mujhe yoon aapas mein ke jaise main koi loota hua khazana tha yeh kya chand hi kadmon par hi thi manzil ke baith gaye tumhe tou saath mera door tak nibhana tha mujhe jo mere lahoon mein dubo ke guzra hai woh koi gair nahi yaar ek purana tha khud apne haath se usko kat diya ke jis darakht ke tehnii pe mera aashiyaana tha.