Bdal gai hai ye zindagi ab sabhi nazarey bdal gaye hain kahin pe moaje'n bdal gai hain kahin kinarey bdal gaye hai bdal gaya hai ab uska lehja ab uski ankhe'n bdal gai hain wo chand chehra hai ab bhi waisa mere sitarey bdal gaye hain mila hun tmse to yun laga hai k jaise donu hi ajnabi hon kabhi jo mjhko aziz-e-jaan they wo rishtey saarey bdal gaye is lye bhi mai sir jhuka kr teri nagri se chal para hun tha naaz jn pr kabhi mje bhi wo sb saharey bdal gaye hain
bdal gai hain ab uski aankhe'n sabhi nazarey bdal gaye hain kabhi jo mjhko aziz-e-jaan they wo log saarey bdal gaye hain......