Akela dekh k tum ko humain ehsas hota hay kabhi hum bhi akelay thay ager cha sher main dil k liye lakhoon jhmelay thay hazaroon rang melay thay mager itny bhut si runaqoon main hum akelay thay phir aik din hum nay en tanhayoon say dosty ker li akelay reh k jeenay ka qareena agaya hum, ko kaoi bhi rut ho ankh apni nam nahi rakhtay ab tu yeh alam hay k tanhai ka bhi gham nahi rakhtay mager nazer ata hay koi tanha tu yeh ehsas hota hay kabhi hum bhi akelay thay akela dekh k tum ko humain ehsas hota hay kabhi hum bhi akelay thay
Rat bher tanha raha din bhrer akaila main hi tha. Shaher ki aabadiyon mein apne jaisa main hi tha. Main hi dariya,main hi toofan,main hi tha her mauj bhi. Main hi khud ko pi gaya sadiyon se pyasa main hi tha. Kis liyy katra ke jata hai musafir dam to le. Aaj sookha pairr hoon kal tera saya main hi tha. Meri dhadkan sunne wala dil na tha dunia ke pas Sab ki aahat, sab ki dadkan sunne wala main hi tha Kitne jazbon ki nirali khushboein theen mere paas. Koi un ko chahne wala nahin tha main hi tha