Yeh lamhe tum bin na gujare jaye Tum saath ho warna hum kidhar jaye
Waqt ki ret par yaado ke nishan hai yeh loatti lehere kahi na mitta jaye
Anjaan shakl lekar yu jo dhakil hue kahi tasvir bankar na simat jaye
Yu to bahoot milenge safar mein magar tum sa koi ho yeh mumkin to nahi
yah lamha, yeh safar adhura sa hai Aankho mein ashko ko hawa na de jaye
thamlo is lamhe mein mujhe..ki.. saath tumhare har lamha jina chate hai
Yeh lamhe tum bin na gujare jaye Tum saath ho warna hum kidhar jaye

|