Main » 2011»May»16 » Samander Poochta Hai + Isi tarah se
1:11 PM
Samander Poochta Hai + Isi tarah se
Samander Poochta Hai Ab Wo Dono Kiyu Nahi Attey Wohi Donno Jo Bhegi Reet Per Ek Dosarey Ka Haath Thammay Duur Taak Kabhi Hansttey,Kabhi Kuch Gungunattey Ya Kabhi Chup Chap Bhittey Duur Ufaq Ki Goodh May Ropposh Honay Walla Sooraj Dekhttey Ansoo Bhahattey Loat Jattey! Samander Poochta Hai Ab Wo Donno Kiyu Nahi Attey Jo Attey Thay To Apnay Saath Kitnay Khwab Lattey Thay Kabhi Sahi Say Dehairoo Seepiyaa Chunttey Thay Nangay Paoo Pani May Challey Attey Thay Bhegi Reet Say Nannay Gharondhay Bhi Banattey Thay Aur Unmay Seepiya,Rangeen Say Kuch Sangreezay Yu Sajattey Thay Kay Jaisay Aj Kay Jugnoosay Lamhay Anay Walley Kal Ki Moothhi May Chupattey Thay! Samander Poochta Hai Ab Wo Donno Kiyu Nahi Attey Mager Samander Nay Khiza Ki Siskiya Laiti Hoee Ek Shaam Ko Wo Nojawanno Ko Nahi Dekha Jo Dair Taak Tanha Sarey Sahil Raha Bhaitta Phir Ussnay Dair Sarey Khaat Buhut Say Phool Sookay Aur Tasveeray Aur Apnay Akhri Ansoo Samander Kay Hawalley Kerdiyey..
********************************************
one more beautifull ghazal.........
Isi tarah se har aik zakhm khushnuma dekhe Woh aye tou mujhe ab bhi hara bhara dekhe Guzargaye hain bohat din rifaqat shab main Aik omar hogayi chehrah woh sa dekhe Mere Sakoot se Jis Ko Giley Rahe Kia kia Bicharte Waqt In Aankhon Ka Bolna Dekhe Tere Siwa Bhi Kayi Rang Khushi nazar thai magar Jo tujhe ko dekh chuka hou aur kia dekhe Bas aik ret ka zarra bacha tha aankhon main Abhi talak jo musafir ka rasta dekhey Usi se pooche koi dasht ki rifaqat jo Jab Ankh kholo paharon ka silsila dekhe Tujhe aziz tha aur maine usko jeet lia Meri taraf bhi tou aik pal tera khuda dekhe **************************************************************