Us shakhs ko main shamo sehar dhudta hun 
Jo aankhon se ruh ko chun jaye woh najar dhundta hun
kisi rah par miljaye woh mujhe chalte chalte 
Zindagi ka ek aisa safar dhundta hun… 
uska na milna todta hai mere umeed ko har baar magar 
main har naumeed ko karke beasar dhundta hun.. 
maine usse sirf chaha nahi uski ibadat ki hai 
Haan kisi insaan ke rup me apna khuda dhundta hun……….