tau aik waqat tha jisko bhula diya mein ne har aik yaad ka gulshan jala diya mein ne
wo piyaar jiske kasidey kayee likhe the kabhi kitab-e-dil se wo unwaan mita diya mein ne
thi aapni manzile hasrat jo aik mohabbat ki usey mazaar ka manzar bana diya mein ne
na tumse koi gila hai na ab shikayat hain tumhari raah se khud ko hata diya mein ne
nazar mila ke jo dekho gay jaan jaao gay ke kesey tum ko nazar se gira diya mein ne
meri wafa ka janaza tha is qadar ghamgeen ke patharoon ko bhi ghum se rula diya mein ne

|