Aap Ne Veer-Zara Film Dekhi Hai? Film Ke End Mein Jab Veer (Shahrukh Khan) Buddha Ho Jata Hai, To Aik Khoobsurat Poem Mein Apna Haal Sunata Hai "Main Qaidi Number 786, Jail Ki Salakhon Se Bahar Deikhta Hoon”. Akhir Mein Uski Zara Ke Sath Shadi Ho Jati Hai Aur Film Wahin Pe Khatam Hoti Hai. Leikin Is Ke Baad Veer (Shahrukh Khan) Kiya Kehta Hai? Wo Hazir Khidmet Hey…… Main Shohar Number 420 Khirki Se Bahar Deikhta Hoon Larkiyon Se Bhari College Ki Bus, Jab Unhain Chor K Jaati Hai Aik Larki Jo Paros Mein Rehti Hai, Mere Saamne Aati Hai Khud Ko Samiya Kehti Hai Mujhe Uncle Bulati Hai Aisi Pariyon Ko Deikh Kar, Bahar Jaane Ko Jee Karta Hai Khirki Se Neeche Kood Kar, Hath Milane Ko Jee Karta Hai Apni Biwi Ko Chor Kar, Bhaag Jaane Ko Jee Karta Hai Wo Kehte Hain Uska Bhai Tandrust Hai Bohat Phir Bhi Maar Khane Ko Jee Karta Hai Wo Kehte Hain Ab Kuch Hath Nahin Aaye Ga Phir Bhi Kuch Paane Ko Jee Karta Hai