Khud ko dil main basaney ki ijazat dey doo....... Mujh ko tum apna bananey ki ijazat dey doo.. Tum meri zindagi ka ek haseen lamha hoo.... Phoolon se khud ko sajaney ki ijazat dey doo.... Main kitna chahta hoon kis tarhan baataon tumhain.. Mujhey yeh aaj batanaey ki ijazat dey doo......... .. Tumhari chand si ankhon may chand sa chehra.. Mujhe yeh shaam sajaney ki ijazat dey doo..... Mujhe Qaid ker lo apney dil main...... Yaa mujhey khud Qaid kerney ki ijazat dey doo.
Meri Sab Wafayein Tumhare Liye, Mere Ehad-O-Paiam Tumhare Liye, Meri Sab Adayein Tumhare Liye, Meri Sab Jafayein Tumhare Liye, Meri Raaton Ki Neendein Tumhare Liye, Meri Ratjagein Bhi Tumhare Liye, Dhadakta Hai Dil Ye Tumhare Liye, Meri Nass Nass Mein Chahat Tumhare Liye, Meri Saanson Ki Garmi Tumhare Liye, Mere Honthon Ki Narmi Tumhare Liye, Hai Phoolon Mein Khushbu Tumhare Liye, Hai Taaron Ki Jhilmil Tumhare Liye, Meri Zindagi Ab Tumhare Liye, Meri Har Khushi Ab Tumhare Liye, Tu Hai Bani Sirf Mere Liye Main Hoon Bana Sirf Tumhare Liye, Haan!!!!! Sirf Tumhare Liye…
Ek Ek Mashwara Hai Yaaron Mohabbat Na Karna Chaahkar Bhee Kabhi Kisi Ki Chaahat Na Karna Dard Dard Hota Hai Dawa Nahi Ban Sakta Jaan Se Bhee Jaada Kisi Ki Hifajat Na Karna
tuu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa hai ke ham ko teraa nahin intazaar apanaa hai
...mile koi bhi teraa zikr cheer dete hain ke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai ... wo duur ho to bajaa tark-e-dosti kaa khayaal wo saamane ho to kab ikhtiyaar apanaa hai
zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se is aasare pe ke ik gamgusaar apanaa hai
‘Faraz’ raahat-e-jaan bhi vahi hai kyaa kije wo jis ke haath se sinaafigaar apanaa hai