Site menu
Section categories
Calendar
Entries archive
Search
Tag Baord
ShaanSE Poll
Main » 2010 » December » 20
koi ummid bar nahi aati koi suurat nazar nahi aati maut ka ek din muayyan hai neend kyun raat bhar nahi aati aage aati thi haal-e-dil pe hansi ab kisi baat par nahi aati hai kuch aisi hi baat jo chup hoon varna kya baat kar nahi aati hum wahan hain jahaan se hum ko bhi kuch hamaari khabar nahi aati kaaba kis muunh se jaaoge Ghalib sharm tumko magar nahi aati
har kadam imtehaan leti hai zindagi muskuraane ki keemat mangti he zindagi kabhi hasaati he toh kabhi rulaati hai apna har pehlu dikha deti hai zindagi Kabhi bachpan kabhi jaawaani bankar apna har haseen rang dikhati hai zindagi har mod pe ek nayaa fasaana sunaati insan ki qadr karna sikhajati hai zindagi mukaddar ke naam pe fareb karti he ye insaan ko khilona bana deti hai zindagi takdeer ka tamasha dikhate dikhate Rafat ek din khud mauth se haar jaati hai zindagi
Dard Ke Phool Bhi Khilte Hain Bikhar Jate Hain Zakhm Kaise Bhi Hon Kuch Roz Mein Bhar Jate Hain!!! Us Dareeche Mein Bhi Ab Koi Nahi Aur Hum Bhi Sir Jhukaye Hue Chup Chaap Guzar Jate Hain!!! Raasta Roke Khari Hai Yahi Uljhan Kub Se Koi Pooche Tu Kahein Kya Ke Kidhar Jate Hain!!! Narm Awaz Bhali Baatein Muhazzab Lehje Pehli Barish Mein Hi Yeh Rung Utar Jate Hain!!! Dard Ke Phool Bhi Khilte Hain Bikhar Jate Hain Zakhm Kaise Bhi Hon Kuch Roz Mein Bhar Jate Hain!!!
Zindagi kya hai jaanne ke liye Zinda rehna bahot zaroori hai Aaj tak koi bhi raha to nahin Saari waadi udas baithi hai Mausam-e-gul ne khudkashi karli kisne barood boya baagon mein Aao hum sab pehenle aaine Saare dekhenge apna hi chehra Sabko saarein haseen lagenge yahan Hai nahin jo dikhaii deta hai Aaine par chapa huwa chehra Tarjumah aaine ka thik nahin Humko Ghalib ne yeh duwa di thi Tum salamat raho hazar baras Yeh baras to faqat dino mein gaya Lab tere Mir ne bhi dekhe hai pankhari ek gulab ki si hai baat sunte to Ghalib ho jaate Aise bikhre hai raat din jaise Motiyon wala haar tuth gaya Tumne mujhko pidoke rakha tha <
...
Read more »
Problems are just the distance between expected and the reality. So, either expect less or accept the reality and the problems are solved. Treat your life as a sea, Heart as the sea shore and friends as waves. It never matters how many waves arise in the sea, What matters is how many have touched the seashore.
jaaiye bethiye hukmraanoN ke beech aap kyun aa gaye ham divaanoN ke beech aur kyaa hai siyaasat ke baazaar mein kuch khilone saje hain dukaanon ke beech thaa jinheN ishq kaa hauslaa, uth gaye tazkire rah gaye daastoN ke beech ishq ke naam par aur to kyaa huwaa dushmani ho gayi do gharaanoN ke beech log baateN banaane pe aise tule chhup gayi har haqiqat fasaanoN ke beech kam-se-kam ham mein ye hausla to rahaa zindagi kaaT di imtihaanoN ke beech
Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Ke 'Too Kya Hai' ?? TumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ? Na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada Koe batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ? Yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ? Chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan Hamaare jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ? Jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga Kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ? RagoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal Jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ? Woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez Siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ? PiyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar Yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ? Rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee To kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ? Bana hai
...
Read more »
Login Here
Welcome to ShaanSE Poetry
ShaanSE Facebook
statistics
Total online: 1
Guests: 1
Users: 0
Members Area
Users who have visited the site today
ShaanSE Facebook
ShaanSE Channel
Dedicated To ShaanSE-1
Dedicated To ShaanSE-2
Search