Kisi ki to aarzoo ho, Kisi ka to intezaar ho, Kisi se kisi se to pyaar ho, Kisi pe to yeh jaan bhi nisaar ho, Jaisa bhi sahi kaisa bhi sahi koi yaar ho,
Kisi se nazrein hum bhi milaye, Kisi ke sang khwaab hum bhi sajayein, Bina baat hum bhi kahin kho jayein, Kyun na hum bhi Khaton pe syahee bahayein, Koi to ho jise hum apna bulayein.
Koi humein bhi chaahe, Kisi ko hum bhi chaahein, Koi humse hi sab bataye, Kisi ko hum bhi sab batayein Koi humein dekh muskuraye, Kisi ko dekh hum bhi khush ho jayein.
Kahin se dhoond lao, Koi bhi dhoond lao, Kaisa bhi dhoond lao, Koi mere liye mera apna dhoond lao, Ab tanha akele jeena hua dushwaar, Humein bhi ho jaye ik baar yeh pyaar.
!!!!!!!! Kash !!!!!!!! Key Mein Aik Qalam Hota Jab Tum Likhti Tanhai Mein Dil Ki Baat! Chupke Se Kaghaz Per Utarta Aur Teray Haathon Ke Lams Se Samajh Pata Teray Jazbon Ko 'Shaam Ke Surmai Andheron Mein Jab Tu Nikalti Almari Se Mera Dil Khushi Se Jhoomta Phir Zara Deir Talak Teri Unglion Mein Qaid Rehta Kaash Tu Mujhey Umer Qaid Dedey! Phir Teri Baatein Khatam Hoti Tu Mujhey Chor ker chali jati Intizar Kerney Key Liye! Per Woh Intizar Bhi Bemaza Na Hota Kuch Milney Ki Tarap Hoti Kuch Dil Beqarar Hota Mujhey Aadat Hoti Teri Qurbat Ki Tu Pyar Ki Baatein , Meray Liye Na Sahi Per Mujh Se To Likhti.... Kaash Mein Aik Qalam Hota
Jane Woh Kon Thi Jane Woh Kon Thi Merey liyee mera woh tu arman thi aai woh merey gher per mehmaan thi jane woh kon thi jane woh kon thi uski nazroon mein ajeeb se chahat thi ussey hogai mujhko muhabbat thi jane woh kon thi uskey jane se mein ho ghia hon akela jate huey bhi na dekha ke pooch na saka ab nahin maloom ke janey woh kon thi
Aaj tak bandhi hai uske aane ki ummeed aaj tak thehri hui hai zindagi apni jagah laakh ye chaaha ki usko bhool jaun par doston, Hausle apni jagah hai bebasi apni jagah…..