Main Aur Meri Tanhayee Main Hun Aur Mere Saath Sirf Meri Tanhai Hai Pahle Saaya Tha Mera Mere Saath Aaj Kal Wo Bhi Harjaai Hai Jaane Kyon, Kaise Aaj Phir Se Meri Mujhko Maazi Satane Aai Hai Dard-e-Tanhai Se Jab Choor Hua Jaata Hoon Saari Duniya Se Bahut Door Hua Jaata Hoon Phir Bhi Jeene Ko Jo Majboor Hua Jaata Hoon Aisi Haalat Me Pareshan Dil Ko Bahlane Purane Zakhmon Ko Aansuon Me Nehlane Shab Ki Tanhai Me Main Chhat Pe Chala Aata Hoon Apni Khamosh Shikayat Ko Sunaane Ke Liye Chaand Ko Apna Haal-e-Dil Bataane Ke Liye Apni Aankhon Ka Luhoo Usko Dikhane Ke Liye Saath Apne Use Kutch Deir Rulaane Ke Liye Chaand Ko Bhi Meri Haalat Se Pareshani Hai Uski Bhi Apni Mohabbat Ki Ek Kahani Hai Chot Meri Tarah Wo Khaya Hai Daagh Seene Me Jab Hi Paaya Hai Bhool Jaayen Chalo Muhabbat Mein Dard Kisko Hai Kisko Tanhai Waqt Ab Hai Teri Judaai Ka Aansuon Mein Teri Widayee Ka Chun Ke Aankhon Se Mere Ashkon Ko Thapkiyan De Ke Meri Palkon Ko Meri Kismet Per Ro Ke Jaata Hai Jaate Jaate Wo Apne Askhon Se Saari Dharti Bhigo Ke Jaata Hai Ek Subah Phir Nayee Si Aati Hai Thodi Ummeed Saath Laati Hai Shaam Hote Hi Saath "ASIF” Ke Aa Gai Phir Wohi Dilnasheen Tanhai Hai Main Hun Aur Mere Saath Sirf Meri Tanhai Hai Sirf Meri Tanhai Hai Sirf Meri Tanhai Hai…………
Bas ek meri baat nhe thi, sab ka dard DECEMBER tha, Barf saal ke akhir mein bhi hairat mein hum tteenon thy, ek mein tha, ek Tanhai thi, ek Bedard DECEMBER tha........