batao kia likhain tum ko ke lafzoon ka chunao bhi bara dushwaar hota hai jo tum ko jan likhtay hai wafain khoob rooti hai humain aa ker ye kehti hia ke tum apnay hi katil ko ab ke jaan likhtay hoo? khuda kehtay ho usko kabhi emaan likhtay hoo ye tum acha nahi kertay too phir ye sochtay hai hum tumhain ab soog likhtay hai koi mustaqil sa roog likhtay hai soog komananay mein roog ko bhulanay mein umaar beet jati hai roog deney waloon ko loog bhool jatay hai bhool janay waloon ka soog too nahi hota chalo tumhain batao ab buut likhain tum ko ya ke Khuda likhain ajnabi ya phir aashna likhain apnay nakarda gunahoon ki koi saza likhain batao tum ko kia likhain khawab aue haqeeqat mein farq shayad itna hai khawab toot jate hia haqeeqat too deti hai