Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Bankar Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Bankar Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Bankar Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah Meray Hontoon Pay Machalta Hai Jo Naghma Bankar Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak Rouh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Bankar Mera Kya Haal Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay Jee Rahi Hoon Teri Bhoola Hua Vada Bankar Dhoup Main Kho Gaya Woh Haath Chhura Kar Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Bankar Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker