Waqt ki gardish insaan ko kisi pal chain naheen lene deti Balke waqt insaan k har sukh main dukh ka lamha ban kar achanak a jata hay Aur woh insaan jo chand lamhe pahly khushiyon aur musarton k
handwaly main jhool raha hota hay Yeh dekh kar tarap jata hay k yeh zalim waqt us ki
La tahdad khuwahishaat ko apne qadmon tally rondta huwa
Agey barh raha hay
waqt ajeeb shay hay k agar koy insaan khushi ka tasawar karta hay
To waqt usse ghami se humkinar karta chala jata hay Us ko kisi ki khushi se ya ghami se koy wasta naheen
Woh bari khubsorti se apna farz nibhata hay
Waqt ko koy ahsaas naheen hota woh khamoshi se age bartha rahta hay Waqt kisi ko milata hay kisi ko juda karta hay
Waqt kisi ki duniya ko rangeen aur khubsorat banata hay Aur kisi k armanoon ko andheroon ka muqadar bana deta hay Waqt ki ghariyoon main insaan to bilkul paband salasal ho kar rah gaya hay
koy yeh to batay k akhir waqt itni zalim shay kyun hay.....?