| Site menu |
|
 |
| Section categories |
|
 |
| Calendar |
|
|
 |
| Entries archive |
|
 |
| Search |
|
|
 |
| Tag Baord |
|
 |
| ShaanSE Poll |
|  |
|
Main » 2011 » September » 13
1309~*Majbori K Mousam Main*~Pak Old...
|
Mere hamsafar, Mere hamnasheen,
Main ne rab se manga to kuch nahin,
Main ne jab bhi mangi koi dua,
Nahin manga kuch bhi tere siwa,
Yeh talab kiyya ke mera khuda,
Sabhi rahtain, Sabhi chahtain, Wo ata kare tuje Manzilain,
Yeh talab kiyya ke mera khuda,
Tuje bakht de, Tuje taaj de, Tuje takht de,
Mere hamsafar mere chara gar,
Yeh hai dosti ka kathin safar,
Mere saath chalna zara soch kar,
Zara dekh to mera hosla,
Mere paas jo bhi wo hai tera,
Nahin or kuch bhi tere siwa,
Meri dosti, Meri zindagi, Meri khamshi, Meri bebasi, Mera i
...
Read more »
|
zindagi se darte ho zindagi to tum bhi ho, zindagi to ham bhi hain aadmi se darte ho aadmi to tum bhi ho aadmi to ham bhi hain aadmi zubaaN bhi hai, aadmi bayaaN bhi hai is se tum nahi darte harf aur maani ke rishta?haaye aahan se aadmi hai vabastaa aadmi ke daaman se zindagi hai vabastaa is se tum nahi darte ankahi se darte ho jo abhi aai nahi us gharhi se darte ho us gharhi ke aane ki aagahi se darte ho pahle bhi to guzare hain daur naa?rasaai ke, b
...
Read more »
|
Mujhay jeena ki umeed Dobara dey do…. Meri doobti kashti ko kinara dey do..
Main dard k sahil pe tanha khara hoon, phir aa k apni baanhon ka sahara dey do…
tera daman to bhara hai sitaron se,, mujhay sadqay main aik sitara day do…
mere anghan main aaj andhera hai bohat,, meri dehleez ko phir apna nazara dey do..
<
...
Read more »
|
Ab agar aaooo to jane ke leye mat aana ,
sirf ahsaan jatane ke leye mat aana ,
Maine palko pe tamannaye saja rakhe hai ,
dil main ummed ke shammaye jala rakhe hai ,
ye hasi sahme bujhane ke leye mat aana ,
pyar ki aag main zanjeere pighal sakte hai ,
chahne waloo ke taqdire badal sakte hai ,
tum ho bebas ye batane ke leye mat aana ,
Ab tum aana jo tumhe mujse mohabbat hai koi ,
mujse milne ki agar tum ko b chahat hai koi ,
tum koi rasam nibhane ke leye mat aana!!!
|
Wo subah kabhi to ayegi
In kali sadiyon ke sar se jab rat ka anchal dhalakega jab dukh ke badal pighalenge jab sukh ka sagar jhalakega jab ambar jhum ke nachega jab dharati nagme gayegi
Wo subah kabhi to ayegi
Jis subah ki Khatir jug jug se ham sab mar mar ke jite hain jis subah ke amrit ki dhun may ham zahar ke pyale pite hain in bhuki pyasi ruhon par ik din to karam faramayegi
Wo subah kabhi to ayegi
Mana ke abhi tere mere aramanon ki qimat kuch bhi nahi mitti ka bhi hai kuch mol magar insanon ki qimat kuch bhi nahi insanon ki izzat jab jhuthe sikkon
...
Read more »
|
aa bhii jaao kii zindagii kam hai tum nahii.n ho to har Khushii kam hai
vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n shahar me.n aaj raushanii kam hai
jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai
aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa aaj kal un kii dostii kam hai
tere dam se hii mai.n mukammal huu.N bin tere ye zindagi kyun kam hai
|
Malum hy sab kch mgr anjan rehta hy, Wo mere ansu'on ko bhi pehchan leta hy,
Mn pareshan hn kahin wo faisle na kr ly, Wo mere dil ki dharkan ko bhi jan leta hy,
Har pal khafa khafa sa rehta hy mjhse, 0r meri hr baat bhi maan leta hy,
Smjha hy k badle dale ga takderen sab ki, Magr khud apni kismat se anjan rehta hy,
Us ne mjhe pyar kia wo janta bhi nahi, Jo meri khushiyun k liye har dam pareshan rehta hy...!!
|
Na shab ko din se shikayat, na din ko shab se hai
Kisi ka dard ho karte hain tere naam raqam
Gila hai jo bhi kisi se tere sabab se hai
Huwa hai jab se dil na saboor be qaboo
Kalam tujh se nazar ko baray adab se hai
Agar sharer hai to bharkay, jo phool hai to khilay
Tarah tarah ki talab tere rang-e- lab se hai
Kahan gai shab- e- furqat ke jaagnay walay
Sitare-e- sahri ham kalam kab se hai
| |
|
Login Here
|
Welcome to ShaanSE Poetry
|
 |
| ShaanSE Facebook |
|
 |
| statistics |
Total online: 1 Guests: 1 Users: 0 |
 |
| Members Area |
Users who have visited the site today
|
 |
| ShaanSE Facebook |
|
 |
| ShaanSE Channel |
|
 |
Dedicated To ShaanSE-1
|
|
 |
Dedicated To ShaanSE-2
|
|
 |
| Search |
|
 |
|