zindagi se darte ho zindagi to tum bhi ho, zindagi to ham bhi hain aadmi se darte ho aadmi to tum bhi ho aadmi to ham bhi hain aadmi zubaaN bhi hai, aadmi bayaaN bhi hai is se tum nahi darte harf aur maani ke rishta?haaye aahan se aadmi hai vabastaa aadmi ke daaman se zindagi hai vabastaa is se tum nahi darte ankahi se darte ho jo abhi aai nahi us gharhi se darte ho us gharhi ke aane ki aagahi se darte ho pahle bhi to guzare hain daur naa?rasaai ke, be?riyaa, Khudaai ke phir bhi ye samajhte ho, hech aazru?mandi ye shab zubaaNbandi, hai rahe Khudabandi tum yahi samajhte ho, tum magar ye kya jaano lab agar nahi hilte... haath jaag uThte hain haath jaag uThte hain raah kaa nishaan ban kar nur ki zubaaN ban kar haath bol uThte hain subah ki azaaN ban kar roshni se darte ho roshni to tum bhi ho, roshani to ham bhi hain roshni se darte ho shehar ki fasilon par dev kaa jo saaya tha, paak ho gaya aakhir azdahaam?e afsaaN se fard ki navaa aai zaat ki sadaa aai raah?e shauq mein jaise raah?ravi khooN lapke ik naya junooN lapke aadmi chhalak uThe aadmi haNse dekho, shehar phir base dekho tum abhi se darte ho haaN abhi to tum bhi ho, haaN abhi to ham bhi hain tum abhi se darte ho:.
|