Na shab ko din se shikayat, na din ko shab se hai
Kisi ka dard ho karte hain tere naam raqam
Gila hai jo bhi kisi se tere sabab se hai
Huwa hai jab se dil na saboor be qaboo
Kalam tujh se nazar ko baray adab se hai
Agar sharer hai to bharkay, jo phool hai to khilay
Tarah tarah ki talab tere rang-e- lab se hai
Kahan gai shab- e- furqat ke jaagnay walay
Sitare-e- sahri ham kalam kab se hai

|