Mere hamsafar, Mere hamnasheen,
Main ne rab se manga to kuch nahin,
Main ne jab bhi mangi koi dua,
Nahin manga kuch bhi tere siwa,
Yeh talab kiyya ke mera khuda,
Sabhi rahtain, Sabhi chahtain, Wo ata kare tuje Manzilain,
Yeh talab kiyya ke mera khuda,
Tuje bakht de, Tuje taaj de, Tuje takht de,
Mere hamsafar mere chara gar,
Yeh hai dosti ka kathin safar,
Mere saath chalna zara soch kar,
Zara dekh to mera hosla,
Mere paas jo bhi wo hai tera,
Nahin or kuch bhi tere siwa,
Meri dosti, Meri zindagi, Meri khamshi, Meri bebasi, Mera ilam bhi, Mera naam bhi, Ke meri subh, Meri shaam bhi,
Ke jo mil sakain mere daam bhi,
Wo sabhi kuch tujko ata kare,
Mere chara gar tu yaqeen to kar,
Muje mangna to na aaska,
Main ne phir bhi mangi yehi dua,
Ke gawahi de ga mera Khuda,
Main ne jab bhi uss se talab kiya,
Nahin manga kuch bhi tere siwa
|