Jidhar bhi dekhti hoon tanhaai nazar aati hai, aapke intzaar mein har shaam guzar jaati hai. main kaise karun gilaa dil ke zakhmon se huzoor, aansu chhalakte hain meri soorat nikhar jaati hai.. tod diye hain maine apne ghar ke saare aayine, meri rooh mera hi chehraa dekh ke darr jaati hai.. ro ke halke ho lete hain zara se teri yaad mein, zara si na-muraadon ki tabiyaat sudhar jaati hai.. asar karti yakeenan gar chhoo jaati unke dil ko lekin, afsos ke aah meri fizaaon hi mein bikhar jaati hai.. kabhi aake mere zakhmon se muqabla to kar, ae khushi tu moonh mod ke kidhar jaati hai.. tujhe inhi kaanton pe chal ke jaana hoga, unke ghar ko paas yah
... Read more »
mujhe abb b mohabbat hai tere qadmoon ki ahat se teri her muskrahat se teri baatoon ki khushboo se teri aankhoon k jaadoo se teri dil kash adaoon se teri qatil jafaon se mujhe ab b mohabbat hai teri rahoon main rukne se teri palkoon k jhukne se sehr o shaam haathoon pe tera he naam likhne se mujhe abb b mohabbat hai
Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila.. Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat, Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila .. Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor, Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila .. Main Us Se Mangti Kia Khoon Baha Jawani Ka K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila.. Main jisko Dhoond Rahi Thi Nazar Ke Raste Main, Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila ..
aik baat kahoon agar sunte ho tum mujh ko hachay lagte ho kuch chanchal se kuch chup chup se kuch pagal pagal lagte ho hain chahne waale oar bohat per tum main hai ik baat bohat tm apne apne lagte ho ik baat kahoon agar sunte ho tum mujh ko hachay lagte ho yeh baat baat pe kho jaana kuch kahte kahte ruk jaana yeh kiss uljhan main rehte ho kya baat hai hum se kah daalo ik baat kahoon agar sunte ho tum mujh ko hachay lagte ho
Aakhen kholu to chehra tumhara ho, Band karu to sapna tumhara ho, Maar bhi jau to koi gham nahi, Agar kafan ke badle anchal tumhara ho.
Tanhaai me jab beete lamho ki yaad aati hai, Kya kahen jism se jaan chali jaati hai, Yun to unki berukhi yaad hai humein, Per aankhe band kare to surat unki nazar aati hai.
Dhalti raat ka khula ehsas hai, Mere dil me teri jagah kuch khas hai, Tum nahi ho yahan mujhe malum hai, Par dil kahta hai ki tu dil ke paas hai.
Mere chehre se utha do kafan, Mujhe aadat hai muskurane ki. Meri laash abhi mat jalana, Mujhe umeed hai unke aane ki.
jaane kyun shikast ka azaab liye phirta hoon main kya hoon oar kya khuwab liye phirta hoon uss ne aik baar kia tha sawal e mohabbat main her lamha wafaa ka jawaab liye phirta hoon uss ne poocha tha kab se nahi soay tum mani main tab se ratt _ jagun ka hisaab liye phirta hoon uss ki khawaish thi k meri aankhoon main paani daikhay main uss waqt se aansoon ka silaab liye phirta hoon afsoas k phir b woh mera nah huwa mani main jiss ki aarzoo ki kitaab liye phirta hoon
her lamahay tujh se milne ki aarzoo kyun hai iss qader tujhe soachne ki aadat kyun hai her dum aankhun main rehti hai surat teri phir b bar bar tujhe daikhne ki hasrat kyun hai
sirf itna ussay btaa daina mujhe aata nahi bhula daina meri baatain to sirf baatain hain yaad aain to buss muskra daina
jissay sunn k gham mera mit sakkay wohi geet gaa main udaas hoon mere hum nashaan koi dil nasheen si ghazal sunaa main udaas hoon tere bin b yeh din guzer gyaa yeh jo loag hain tere humsafar so yeh sukh main hain kiss qader inhain raastoon main he chor ker kabhi loat aa main udaas hoon