mere saath tum bhi dua karo yun kisi ke haq mein bura na ho kahin aur ho na ye hadsa koi raaste mein judaa na ho mere ghar se raat ki sej tak vo ik aansu ki lakir hai zaraa barh ke chand se puchna vo isi taraf se gayaa na ho sar-e-shaam Thehari hui zamin, aasman hai jhuka hua isi mod par mere vaaste vo chiragh le kar khada na ho vo farishte aap hi Dhoondiye kahaniyon kii kitaab mein jo buraa kahein na buraa sunay koi shaKhs un se Khafa na ho vo visaal ho ke firaaq ho teri aag mahakegii ek din vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo chiragh ban ke jalaa na ho mujhe yun lagaa ki Khaamosh Khushbu
... Read more »