Aakhen kholu to chehra tumhara ho, Band karu to sapna tumhara ho, Maar bhi jau to koi gham nahi, Agar kafan ke badle anchal tumhara ho.
Tanhaai me jab beete lamho ki yaad aati hai, Kya kahen jism se jaan chali jaati hai, Yun to unki berukhi yaad hai humein, Per aankhe band kare to surat unki nazar aati hai.
Dhalti raat ka khula ehsas hai, Mere dil me teri jagah kuch khas hai, Tum nahi ho yahan mujhe malum hai, Par dil kahta hai ki tu dil ke paas hai.
Mere chehre se utha do kafan, Mujhe aadat hai muskurane ki. Meri laash abhi mat jalana, Mujhe umeed hai unke aane ki.
|