yeh dil to tere naam pe qurbaan ker diya hum ne to apni jaan ko b be-jaan ker diya rakhte nahi ho tum shoak deedar ka ankhoon ko apni mujh se he anjaan ker diya hum to samjhte thay k nibhao ge saath tum tanha muje chore k pershaan ker diya kuch saal sahi tum mere dil main to rehte neelaam ker k muje bemakaan ker dia kerni thi bewafai to chupke se ki hoti tum ne to bewafai ka b elaan ker diya
mere shehar main ik raat basser ker k daikhna mere ird gird k loagun se mill ker daikhna tere bagair hum kiss tarah ji rahay hain zarra in loagun se pooch k daikhna jo jan,na chaho k hum kitne udaas hain to sard ratun k tanha chaand ko daikhna hum sa koi nah tum ko mille ga ik baar saari dunia ghoom k daikhna
kahan mumkin tha main dil se tere yaad mitaa daita bhalla main kaise jeeta phir agar tujhe jo bhula daita teri ruswai k der se laboon ko si liya warna tere shehr e nafrat ki main bunyadain hilla daita kia tark e wafaa usne to ho gi uski majboori jise barsun duaa di thi ussay kya bad duaa daita khabar hoti agar mujh ko nahi hai woh muqader main ussi lamhay main haathoon ki lakeerun ko mitaa daita
bohat toote huway hain hum abhi dastak nahi daina hamari aankh hai abhi pur nam abhi dastak nahi daina mere yaaro abhi kuch din mera ehwaal nah poocho abhi dil main hai uska gham abhi dastak nahi daina shab e tanhai main ab b tarapna hai bohat muj ko abhi hai dard kuch madham abhi dastak nahi daina
hijr e mosam main yeh barish ka barasna kaisa is sehraa main samander ka guzarna kaisa ay mere dil pershaan nah ho judaa ho ker woh tere saath challa he kab tha bicherna kaisa loag kahte hain k gulshan ki tabahi daikho main to veraan sa jungle tha ujerna kaisa bewafaa kahne ki usko kabhi nah jurat kerna usne iqraar he kia tha kab mukarna kaisa
kaha uss ne mohabbat main yeh gham kyun saath milte hain kaha main ne yeh kaante phool b to saath palte hain kaha uss ne k lamhay pyar k kyun kam se hote hain kaha main ne k kab khushboo hamaisha saath daiti hai kaha uss ne ghamoon se iss qader kyun pyaar kerte ho kaha main ne yahio to hain jo apna saath daite hain kaha uss ne bicher jaain agar hum to hacha hai kaha main ne tum apni bheegi palkain zarra daikho kaha uss ne k kitna chahte ho tum mujhe mani kaha main ne samandder k gharai daikhi hai
Koi sakoon ki jaga talash karain Aa mill ker wafa talash karain Jurm dono ka hai ik sa Aa Aik jesi saza talash karain Gam seene mai kabi ruk na jain Aa asi abo hawa talash karain dono apni ana main aa mit jain Aa asi koi darmiyani si rah talash karain Zindgi apni kaheen duri main na beet jaye Aa hm apni apni khata talash karain Dekhte hi dekhte jo dil mai utar jaye Mohabt ki wo pehli nigah talash karain
Mere Pass Teen Chizeun Hain: Mairay paas teen cheezain hain Rait mujhay wiraasatt mein milli Pattharr main nay Mehnatt say kamaayaa Aur yeh thorri si Dhoop mujhay Sarrakk parr Parri hui milli
Main nay Rait say apni Umr banaayi Main nay Pattharr apnay Pait parr baandhaa Main nay Dhoop say apnaa Sayaa banayaa Main apnay Saayay mein jalltaa hoon Main
... Read more »
Sath chalne me jo maza hota hai, wo hume bhi kabhi mila hota.. Yahi hasrat rahi apni faqat sath apne bhi koi chala hota.. Hum bhatakte rahe the rahon me koi rasta pata chala hota.. tham leta hath hamara bhi koi, humko bhi koi aisa mila hota... hum ulajhte nhi zamane se, kash ek jo humsafar mera hota.. Hum na thakte safar me gar sath apne koi chala hota....
wafaa k qaid khaanoo main sazaain kab badalti hain badalte dil ka moasam hai hawaain kab badalti hain libaada oar ker gham ka, nikkel jaate hain sehraa ko jawaab aay k nah aay sadaain kab badalti hain koi paa ker nibhaate hai koi kho ker nibhaata hai naay andaaz hote hain wafaain kab badalti hain
bachao lakh dil ko ,mohabbat ho hi jati hai. najar akhir najar hai yah shararat ho hi jati hai. safar is zindagi ka taya akele ho nahi sakta. koi,apana bhi sathi ho yah chahat ho hi jati hai. nahi kuch hosh apna dundhate hain har taraf unko. diwane hain,diwano ki yah halat ho hi jati hai. kare ab unse kya sikwa bhala anpni tabahi ka. dilo ko tod dena zinki adat ho hi jati hai. agar wo sath hon,apne to gulasan ho ya virana. jagah koi bhi ho misle jannat ho hi jati hai. chupaya ja nahi sakta mohbbat ke fasane ko. jamane bhar ko jahir yah hakikat ho hi jati hai. yah adat hi nahi yu to kisi se kuch kahe "janam". magar jab tootata hai dil,shikayat ho hi jati hai...