jab dil udaas hota hai dard kuch khaas hota hai her soach her baat her yaad her pal barra be aass hota hai bas ik awaaz si hoti hai woh b be saaz si hoti hai nah koi apna sa lagta hai sab ik sapna sa lagta hai yoon dil kyun udaas hota hai kyun dard yeh khaas hota hai
koi lafz main ne likha nah tha koi herf main ne kaha nah tha koi kahwaab main ne chunna nah tha
isi intizaar ki rait pe
meri aarzoo k gulaab thay meri justaju k saraab thay sabhi chahtoon k jawaab thay sabhi hasartain woh kahan gaien sabhi chahtain woh kahan gaien mere hum nasheen mere hum nwaa main palat k shayad nah aa sakoon
isi intizaar ki rait pe
main bikher gya hoon hawaon main muje yaad rakhna duaon main
tumse is qadar mujhe muhabbat kyu hai mere dil me tere liye itni chahat kyu hai sadaqat se bhara hai mere pyaar ka jazbaa teri har ek adaa me mere liye itni latafat kyu hai
muhabbat mere dil me tere liye Allah ki neymat hai ye inaam hai khuda ka aur uski rehmat hai mujhe bhulaye nahi bhulta teri chahatau ka alam mera tan man sab teri hi amaanat hai
Tujhse maine itni mohabbat kyun ki Mujhe samajh nahin ata Aur ab teri iss bewafai ka gham is dil se kyun nahin jata Tujhse nafrat karna chahoon Toh woh bhi nahin kar pati hoon Teri is berukhi ke dard mein Ab main jee nahin pati hoon Pagal duniya ki baaton mein akey Chor gayi tum mera sath Gar tumhein yahi tha karna Toh thama hi kyun tha mera hath Arey pyar ki kadar na karna toh tumhari fitrat mein hai Par mera hi dil pagal hai Jo aaj bhi tumhein dobarah pane ki aas mein hai. Main janti hoon ki ek din tumhe meri kadar toh zaroor hogi Lekin ye bhi sach hai ki tab tak bahut der ho gayi hogi ... Read more »
Jab bhi tumhara tassawur kiya toh laga ki tum yahin kahin mere paas mein ho, jab bhi tumhe yaad kiya toh laga ki tum meri har saans mein ho tumse milne ki justjoo toh hum aaj bhi karte hain tum nahin janti ki tumhari yaad mein hum pal pal marte hain. Yaad hain mujhe aaj bhi tumhari woh sab baten yaad hain abhi bhi woh din woh raten Jin raton mein thaka nahin karti thi tum mujhse baatein karte Mera sar apne kandhe pe liye kaha karti thi ki nahin dekh sakti tumhein aahen bharte Jane kahan chali gayi tum mujhe akele chor ke jane kyun jana pada tumhein mujhse munh mod ke
... Read more »
hum tere warkoon main bikhray hain kabhi woh puraani kitabain kholo to yaad kerna hum qatra qatra barsaat main barsain ge jo un barishoon main bheego to yaad kerna hum saans saans teri yaadoon main bassay hain jab saans ko ukharta pao to yaad kerna hu lamha lamha teri yaad main jalte hain kabhi khud ko khud se kahafaa pao to muje yaad kerna hum raat raat tumain apne Rab se maangte hain kabhi tum b apne haath uthao to yaad kerna
hum her din raat tumain yaad ker k rotay hain kabhi
... Read more »
aik toota huwa shesha hoon uthaa k rakh lo kaam aaon ga muje ghar main sajaa k rakh lo mere halaat pe hansate hain zamane waale aise aalam main muje apna banaa k rakh lo main aik phool hoon ho jaaon ga patti patti tum uthaa ker muje juray main saja k rakh lo yaad rakhna k main tanhai main kaam aaon ga main khilona hoon muje sab se chupa k rakh lo woh nahi paas to tum kyun pereshaan hote ho unn ki tasweer ko seene se lagga k rakh lo
Tu hay nzar k samne aisa laga Mujhe,. Har Shakhs Tere shehr ka apna laga Mujhe…. Pholon se Zakham Khaey tho kante haseen Lagay,. Yeh tajarba hayat ka acha laga Mujhe… Kehta raha jo shehr mein mil kar rha kro,. Wo shakhs khud qreeb se tanha laga mujhe… Har Chez tere shehr ki mehngi lagi magr,. Insan Tere shehr ka sasta laga mujhe……………
Ek khawab ajab se dekha tha Hum uss din se bohat bezaar piya ab neend b hum se rooth gaie phir kaise ho dedaar piya ab kah daalo to behter hai jo kerna hai iqraar piya Dil gham se he phatt jaay ga Ker daina nah inkaar piya in ashkun ko in aankhoon ki nah roak sake dewaar piya Agar rastay seedhay saade hain to chalna kyun dushwaar piya haan jism to apna loat aaya Per bhatkay ROOH us paar piya
Chalo hum maan lete hain tumain fursat nahi milti nah dunia k jhamailoon se nah apnoo k fasaanu se yeh sab such maan lete hain magar ik AARZOO dil ki btaate hain agar fursat mille tum ko ek lamhay k ko aa jaana Humain itna btaa jaana tumain hamaara intizaar hai tumari aankhoon main ab b hamaare khwaab palte hain yakeen jaano yeh ik baat hamain UMAR BHAR INTIZAAR kerna ka housla de jaay gi