Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi Kyun usey Tuu ne bas ek Phool kaha hai Mere Dost Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi Tu jise itni Haseen cheez samajhta hai wo Phool Sookh jaaye to Nigaahon ko bura lagta hai Phool ka apna koi rang koi Roop nahi Uske Jore mai saja ho to Bhala lagta hai Mera Mehboob to har Waqt Naya hai Mere Dost Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi Mere Mehboob ke Jalwon ka nahi koi Jawaab Dhoop sa rang hai aur khud hai wo Chha’aoon jesa Uski Payal mai Barsaat ka Mausam Chhanke Sar pe Resham ka Dupatta hai Ghata’aon jesa Wo jahan bhar ke Haseeno se juda hai Mere Dost Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi Mere Mehboob ki Aankhen hain Do Gehri Jheelien Jin mai khilte hain Mere waaste Chahat ke Kanwal Unko dekhoon to Mujhe Shayari karni aa jaaye Aur mai uske lye Gaaon Mohabbat ki Ghazal Wo Mere Dil ke Dharakne ki sada hai Mere Dost Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi