Tumhain Dil Mein Basaye Rakhta Hon,
Aur Duniya Ko Bhulaye Rakhta Hon
Tumhe Meri Nazar Na Lag Jaye
Apni Nazar Jhukaye Rakhta Hon,
Mohabbat Karne Wale Iss Duniya Mein Kam Na Honge
Meri Jaan Teri Mehfil Mein Bas Hum Na Honge
Dil cheez hai aisi, hai dene ki day denge
Koi qubul karnay wala to milay
Hum jaan bhi day denge
Ab Tum Batao Kyon Mujh se Door Ho
Milna Manzoor Nahi Ya Meri Tarah Majboor Ho
Zindagi khushi ka hai naam, isay ronay mein zaya na kijiye
Hansiye khud bhi aur sang apnay, dusron ko bhi hasaya kijiye
Tum jaam tootnay ka bahana na karo
Hum teri aankhon say pee lenge
Tum na aao, bus aanay ka wada karo
Hum intezaar mein jee lenge
Dil ki halat dil say poocho
Dillagi mein dil gaya
Dil kay badlay dil kay haathon
Dard-e-dil Hamein mil gaya
Zinda hoon is liye
kyon keh mujh ko tumse pyar hai
Tum bhi mujhse pyar karti ho
Sun nay ko dil beqaraar hai
Pyar ka izhaar kar do
Ab hum say nahi raha jaata
Likh ker hi iqraar ker lo
Agar honton pay nahi aata
Kab say hai hum ko yeh intezaar
Kar do na tum bhi iqraar
Bus keh do keh hai bhi do naa
Hai tum ko bhi utna hi pyar
Pyar kehte hain, mohabbat kehte hain
Kuch log isay bandagi kehte hain
Magar jin pay hain hum martay
Hum unhain zindagi kehte hain
Tera diwana hoon, inkaar nahi
Kaise keh doon kay tujhse pyar nahi
Kuch shararat teri aankho ki bhi hai
Main tanhaa to gunahgaar nahi
Jahaan dekho wahaan ishq kay bimaar baithe hain
Laakhon mar chukay, sainkron tayyar baihte hain
Jo sacha pyar karte hain
woh kahan faryaad karte hain
Labon ko hilnay nahi dete
Dil o dil yaad karte hain
Musqurate Hain To BiJliyan Gira Dete Hein
Baat Karte Hein To Deewana Bana Dete Hein
Husan walon Ki Nazar Kam Nahi Qyamat Se
Aag Pani Mein woh Nazaron Se Laga Dete Hein
Soya nahi kaye raaton se
Is dil main tum hi samaye ho
Her Aahat par aisa lagta hai
Kay shayad tum Aaye ho