kabhi chanda ki nagri se koi paigham aye to kabhi taron ke honton par kisi ka naam aye to kabhi tareek shab mein koi jugnu jagmagata hai mujhe woh yad ata hai kabhi jab saans se uthhta dhuan mehsoos hota ho ajab si aanch pe harr ki ruan mehsoos hota ho tab us ke pyar ke sawan mein tann mann bheeg jata hai mujhe woh yad ata hai kabhi raton ko uth uth kar buhat bechain hote hon agar jo laitna chahen to bass takiye bhigotey hon koi roothi hui sab neend ki parian bulata hai mujhe woh yad ata hai kabhi jab titlion ke pankh bhi be rang ho jayen meri sari baharen bhi khizan ke sang ho jayen tabhi ik aas ka panchhi dar e dil khatkatata hai mujhe woh yad ata hai woh jis ke dhyan ki kirnen hamen harr subh jagati hain usi ki yaad ke saye mein shaamen muskurati hain mujhe chhu ke jo harr shab sang se heera banata hai mujhe woh yad ata hai
kabhi ziddi si koi yaad daaman thham baithey to kabhi kaga hamari chhat pe subh o sham baithey to kabhi bhatka koi wada jo darwaza bajata hai mujhe woh yad ata hai