Mere Papa ki Pyari Poem.
Wo gudia hamari hai jise main pyar karta hoon, Ham sab ki dulari hai jise main pyar karta hoon.
Subah subah uthkar, jab apni aankh ko khole, Kale kale naynon mein, ek bijlee si dole, Wo aise hansti hai, use main pyar karta hoon. Wo Chiniya hamari hai, use main pyar karta hoon. Wo raj dulari hai, use sab pyar karte hein.
Uin uin karke jab wo apne hoton khole, Koyal ki boli mein meetha meetha bole. Wo Amiya hamari hai, use main pyar karta hoon. Wo sab ko pyari hai, use main pyar karta hoon. Wo shaan hamari hai, use main pyar karta hoon.
Haath munh dhokar, jab office ko jaye, Kale kale balon ki, do choti latkaye Pyari pyari baaten kare, sab ko wo bhaye, Saitan ki nani hai, wo Appiya hamari, Ham sab ki dulari hai,use main pyar karta hoon.
Der sham lotkar ke, ghar ko wo aaye, Office ki baaton ko dil se lagaye, Lekh kuchh aise likhe, samajh mein na aaye Naaz, nakhre wali hai, use main pyar karta hoon. Wo Miniya hamari hai, use main pyar karta hoon. Wo pariyon ki rani hai, use main pyar karta hoon. Hame jaan se pyari hai, use main pyar karta hoon.
|