zindagi se darte ho zindagi to tum bhi ho, zindagi to ham bhi hain aadmi se darte ho aadmi to tum bhi ho aadmi to ham bhi hain aadmi zubaaN bhi hai, aadmi bayaaN bhi hai is se tum nahi darte harf aur maani ke rishta?haaye aahan se aadmi hai vabastaa aadmi ke daaman se zindagi hai vabastaa is se tum nahi darte ankahi se darte ho jo abhi aai nahi us gharhi se darte ho us gharhi ke aane ki aagahi se darte ho pahle bhi to guzare hain daur naa?rasaai ke, b
... Read more »
In kali sadiyon ke sar se jab rat ka anchal dhalakega jab dukh ke badal pighalenge jab sukh ka sagar jhalakega jab ambar jhum ke nachega jab dharati nagme gayegi
Wo subah kabhi to ayegi
Jis subah ki Khatir jug jug se ham sab mar mar ke jite hain jis subah ke amrit ki dhun may ham zahar ke pyale pite hain in bhuki pyasi ruhon par ik din to karam faramayegi
Wo subah kabhi to ayegi
Mana ke abhi tere mere aramanon ki qimat kuch bhi nahi mitti ka bhi hai kuch mol magar insanon ki qimat kuch bhi nahi insanon ki izzat jab jhuthe sikkon
... Read more »