teri khushbu ka pataa karti hai, mujh pay ehsaan hawa karti hai, shab ki tanhai mei ab to aksar, guftagu tujh say raha karti hai, dil ko us raah pay chalna hee nahi, jo mujhay tujh say juda karti hai, zindagi meri thee lekin ab to, teray kehnay mei raha karti hai, us nay dekha he nahi warna yeh aankh, dil ka ehwaal kaha karti hai, shaam parrtay he kisi shakhs ki yaad, koocha e jaan mei sadaa karti hai.
Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai.. Meri rooh mujh se bichar jane ko hai Wafa-e-muhabbat raak ho jane ko hai Jo mere dil se jhor kar meri zaat mein raha Woh bandhan pal mein toot jane ko hai Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai.. Sokoon dil barbaad ho jane ko hai Raapte socho ke simat jane ko hai Yeh kaisa too ne muhabbat mein faasla rakha Apna ho ke ajnabi ho jane ko hai Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai.. Qurbato ke nisha mit jane ko hai Faasle dooriyu mein badal jane ko hai Woh ja sakta hai meri muhabbat ko chor ke Meri zaat to us ki muhabat mein waft ho jane ko hai
Aansu jo beh rahey hein inhein behney do Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do! Mila to kia mila tumhein chahney kay baad Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do Mar gaye auroon kay liye main Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do..