Apne Haathon ki Lakeeron mai Basa le Mujh ko Mai hoon Tera to, Naseeb apna bana le Mujh ko Mai jo Kaanta hoon to, chal Mujh se bacha ker Daman Mai hon agar Phool, to Jorey mai saja le Mujh ko Mai khule Darr k kisi Ghar ka hoon Samaan, Pyare! Tu dabey Paaon kabi aake Chura le Mujh ko Mujh se Tu puchne aaya hai Wafa k Ma'ani Ye Teri Sada-Dili na Maar dale Mujh ko Mai Samandar b hoon, Moti b hoon, Gota-zann b Koi b Naam le ke Bula le Mujh ko Khood ko Mai Baant na daloon kahin, Daman Daman Kardia Tu ne jo Agar Mere hawale Mujh ko Bada phir Bada hai, Mai Zehar b p jaaon 'shah' Shart ye hai k koi Baahon mai sanbhale Mujh ko
Dil ko dil ki baat samajhne mein Kuch waqt to lag hi jaata hain Har jazbe ko sahi naam dene mein Kuch waqt to lag hi jaata hain
Ek safar hain taii karna... Safar ke aaghaaz ko kuch waqt to lag hi jaata hain Aakhir hain har tarah ke mod ke har raste par chalna... Apne kadam badhaane mein kuch waqt to lag hi jaata hain...
Bahut kuch hain tumhaarein sang zindagi mein paana Lekin jo khona hain uske liye waqt to lag hi jaata hain Ek nayi shuruaat karne se pehle Kuch anth karne mein kuch waqt to lag hi jaata hain
Tumse hain apne naam ko jodna chaahaa... Apna naam chodne mein kuch waqt to lag hi jaata hain Najaane hain kabse chaaha tu
... Read more »