Yaadon ki purani galiyaan,kuch toote bikhare sapne, kuch gudiya aur kuch sakhiyaan,kuch kisse aur kuch aapne, jis mod par aakar rukhte thamte,woh mod hai mere bachpan ka
aage aage jab main daudoon,aur peeche peeche sab sathi, ek toote ghar ke aage ruk kar,yaad karoon gudiya ki shaadi,
saawan ke baadal teejon ki menhdi,pedoon ke jhoole yaad mujhe, main to nahin bhooli inhe magar, ye bhool gayen hain sabhi mujhe,
yanha bheed bahut hai logon ki , mera dil phir bhi tanha hai, bachpan ki galiyan chan raha, shayad koi pal vanha jinda hai !!!!
Yeh pal Yeh lamha ek Ansu bankar palko mein machal gaya.. Thamna jo chaha meine jhat galo par fisal gaya.. Bahoot man karta mera mujhe bhi koi gale se lagaye to.. Do pyare mithe bolo se mujhpar pyar jataye to.. Unki yaad ne yu chua mujhko Naam unka aah bankar hotose nikal gaya.. Hum unke samne muskuraye to Unhe hamare khus hone ka guman ho gaya Hamare andar ke dard is Unka mann anjaa ho gaya..... Read more »
Dur tak is kohre mein kuch bhi nazar aata nahi Apna sa koi lamha...mujhe kahi lubhata nahi logo ka milna..kuch pal muskarakar..bhul jana.. Ab mere maan mein samata nahi...
Ek pal kisi ka hona...ek pal na hona.. Tanhaiya deta hai.... Dil ka yeh dard ab mujhse saha jata nahi.. Tumko aurose alag samjha yeh meri hi bhul thi Aaye aur aakar yu chal diye jaise kuch hua hi nahi.. Itna kuch keh diya par kuch kaha hi nahi..
Dur tak is kohre mein kuch bhi nazar aata nahi Apna sa koi lamha...mujhe kahi lubhata nahi logo ka milna..kuch pal muskarakar..bhul jana.. Ab mere maan mein samata nahi...
Kohre mein tumhara aana..roshni ki kiran samjhe tum to andhere mein hame hamse chura gaye.. Tumhare liye na royenge hum, soch liya tha hamne Par in bundo ko ankho se bhete humse roka jata nahi.. Tumhari bewafai ko hamari bebasi hamse kaha jata nahi..
Madhhosh hum hardam raha karte hain, Aur ilzaam sharaab ko diya karte hain. Kasoor sharaab ka nahi unka hai yaron, Jinka chehra hum har jaam mein talaash kiya karte hain.
Bhoola diya tha teri har ek yaad ko meine apne jasbaath se Par ab kyun jal uthe mere har zakham tere ehsaas se
Kabhi sochti hun shaayd meine nahi samjha tumhein Kabhi lagta hai kabhi tumnein nahi samjha hamein
Kabhi dil samjhatha waqt ne nahi milne diya humko Kabhi dil kehta hai kissmat ne tukhra diya humko
Kaise bhoola payungi woh lamhein …kyun zindegi ka har pal wirana hai aab to meri zindegi ka har ek lamha mughse hi anjana hai
Har sham jane kyo dil udas ho jata hai, Bitaye the khusio bahre pal unke sath Wo sab ek haseen khwab ho jata hai. Har sham jane kyo dil udas ho jata hai, Pyar me sajaye the khwab in ankho me Wo sab ansuo ansu bankar bah jata hai. Har sham jane kyo dil udas ho jata hai, Jata hu mehkhane sharab pine phir bhi, Unki c
... Read more »