Site menu |
|
 |
Section categories |
|
 |
Calendar |
|
 |
Entries archive |
|
 |
Search |
|
 |
Tag Baord |
|
 |
ShaanSE Poll |
|  |
|
Main » 2010 » November » 10
Jaane kaisa shehar tha ghar mein bhi darr baki raha Roshni to chup gayi, saya magar baki raha
Ek-ek ghar shehar ka behta gaya sailab mein Jane aisa kya tha, usme ek ghar baki raha
Todkar sare rishte, jab juda dono huwe Beech mein kaise na jaane ek Agar baki raha
Ser to tha aasman dekh, aur paav mila jaa raha dhool mein Ek katra khoon ka bas Khaak per baki raha
Mashwara ab kya kare, aksar hua aisa "MoZaM" Raste sab chuk gaye, lekin safar baki raha..
|
Aadat
Sapnoo Se Dil Lagany Ki Aadat Nahi Rahi Har Waqt Muskurany Ki Aadat Nahi Rahi Yeh Soch Kar k Koi Manaany Nahi Aye Ga Ab Humy Rooth Janay Ki Aadat Nahi Rahi...!!!
|
lagta he....
baa khabar wo reh k bhee bey khabar sa lagta hey
us ki is ada sey he mujh ko darr sa lagta hey
kaisa rung sa badla hey aa k tere yadoon ney
mujh ko ya makaan mera aaj ghar sa lagta hey
wo tere judaee ka aik lamha kafee tha
mujh pey jo bhe guzrey ab bey zarar sa lagta hry
pehley us ki nazroon ka teer bey misalee tha
ab jou teer lagta hey us nazar sa lagta hey
itna rou chukey hum firaq main us k
dil ko aik ansoo bhee ab beher sa lagta hey
|
KUCH TO KAHO
*** KUCH TO KAHO *** Kuch To Kaho Koi Taiz Si Baat Koi Khanjar Sa Lehja Mery Naam Kar Do Koi Toota Houa Taara Koi Sookha Houa Phool Bhijwa Do Mujh Ko Koi Jhoota Aansoo Koi Boda Jazba, k Yaroo Kayii Din Beety Kayii Ratein Guzrien Mujhay Kuch Na Mila Main Khaali Bohat Hoon Main Tanhaa Bohat hoon...!!
|
TERI YAD
teri yad ko khud main sama rakha hai
teri her baat ko dil main basa rakha ha
aik hum hain keh bhol nahin sakte tum ko
aik tum ho keh dil se bhi juda rakha hai
mujhse kehte the akser mere dost mil ker
chorr do us ko piyar main kiya rakha hai
kitna khush hai wo humain chorr ke jane wala
hum ne us ki taswer ko ankhon main basa rakha hai
chalo ajj hum bhi us ko chorr dain Ambreen
us ka tasawar hi kafi hai jo dil main basa rakha hi
|
MUSKURAHAT
her waqat muskurane ki adat nahin rahi
tum ko apna bnane ki chahat nahin rahi
bas aik yad rahi humari muflisi hum ko
aur us ko bhool jane ki taqat nahin rahi
wese to had se barrh ker kiya tha piyar us ko
bas us ko btane ki himmat nahin rahi
kabhi hum bhi jete the khizan main bahar banker
ab aur ghamon se nibhane ki taqat nahin rahi
hmesha bas sath rahin yadain mazi ki
ab nai yad bnane ki jurat nahin rahi
dil to ajj bhi chahta hai us be wafa ko Ambreen
bas aur zakham khane ki chahat nahin rahi
|
HUM MUNTAZIR HAIN !
SUNO....HUM MUNTAZIR HAIN ! Suno... Jo Dil Mein Baat Hay Keh Do k Kab Se Muntazir Hain Hum Tumhary Chand Lafzoon k Ajab Ik KashMakash Mein Hain Ya To Tum Hum Ko Qaid Kar Do Ya Phir Azad Kar Do Jo Dil Mein Baat Hay Keh Do k Jazba Koi b Ho Izhaar Ka Muhtaaj Hota Hay Suno... Ab Bol b Do Wagarna Yeh Moka Hathoon Se Kho Baithy To Pachtao Ge Chalo Ab Keh b Do Hum Se Karo Ab Tum Humy Saraab Apny Lafzoon Ki Barish Se Suno... Hum Muntazir Hain...!!!
|
chand sa chehra..!
 chand sa chehra us ka.! jab bhi khayalon main ata hai us ki yaad k rat jagay meri tanhaion se yeh khetay hain ay chand se chehray walay tu bhi kabhi roshni kar meray angan main kyun k... meray dareechon ko teri yaad ki andheri ratoon ne ghera hua hai..!
|
Kabhi Aansoo Kabhi Khushi Dekhi Humne Majboori Aur Bekasi Dekhi
Chand Lamhaat Jeene Ke Liye Bechke Apni Zindagi Dekhi
Andhere Agar Ghir Aaye Ho Tere Pehloo Mai Raushni Dekhi
Teri Naraazgi Ko Kya Samjhein Humne Khud Apni Bebasi Dekhi
Hum Kyon Yahan Badnaam Hai Zamaane Ki Humne Dillagi Dekhi
Waadon Par Bharosa Abh Kyon Rahe Humne Azeezon Ki Wada-Khilaafi Dekhi
Ek Hum Hai Jo Lut Gaye Tanha Varna Duniya Bhar Ki Dosti Dekhi
|
Tumse Pyar Karke Main Deewano Mein Shamil Hua Pal Pal Teri Yad Mein Jalkar Parwano Mein Shamil Hua Jis Anjam Ke Hone Se Darta Tha Usi Ka Shikar Hua Aakhir Teri Barat Mein Barati Bankar Shamil Hua
|
agar tum milnay aa jao
TAMNNA PHIR MACHAL JAAY AGAR TUM MILNAY AA JAO YEH MOSAM BHI BADAL JAAY AGAR TUM MILNAY A JAO...
NAHI MILTAY HO MUJH SE TUM TO SAB HUMDARD HEIN MERAY, ZAMANA MUJH SE JAL JAAY AGAR TUM MILNAY AA JAO...
MUJHAY GHUM HAY KE MAI NE ZINDGII MEIN KUCH NAHI PAYA, YEH GHUM DIL SE NIKAL JAAY AGAR TUM MILNAY AA JAO...
TAMNNA PHIR MACHAL JAAY AGAR TUM MILNAY AA JAO......
|
Zarrorat... ghum chupane ki koi zarrorat nahin aur aazmane ki koi zarrorat nahin dil naa umeed ho ke baitha hai ise bahlane ki koi zarrorat nahin aitbaar ilm pe ab na raha ziyada hunar dikhane ki koi zarrorat nahin dum nikalte hi baant lete hain vasiyat likhwane ki koi zarrorat nahin "noor" dafna ke tujhko kahte hain shokh manane ki koi zaroorat nahin.....
|
Dil K Sawaal..
Dil K Sawaal..
Khabhi Socha Hai Tu Nay Dil Kia Kheta Hai? Khabhi Socha Hai Kia Hota Jab Dil Tootta Hai?
Kitna Dard Hota Hai ... Jab Apnon Say Khauff Hota Hai ..
Woh Manzar Bhi Kia Manzar Hota Hai .. Jab Tu Kareeb Reh kar Bhi Door Hota Hai ...
Kitna Kamzor Vo Shakhs Hota Hai .. Jo Dost Hi Ko Dhoka Deta Hai ...
itna Bandnaseeb Woh Q Hota Hai ... Jo Majmay Main Bhi Aakela Hota Hai...
Judai Ka Ghum Bhi kia Ghum Hota Hai... Kyioun Her Koi Mujh Say Sawal Karta Hai .
Kyioun Mera Dil Her Bar Roo Deta Hai .. Ab b To Saya Bhi Yeh He Sawal Karta Hai... Kaise Tu itna Khush Rehta Hai...??????
|
utha kay haath Khuda say bas maangi yahi dua
utha kay haath Khuda say bas maangi yahi dua naseeb hon khushiyan tumhain tum khush raho sada
tum ko rahat milay , tum ko chahat milay tumhain saray jahan ki muhabbat milay
jahan main sab se hon achay naseeb tumhary koi dukh kabhi bhi na aaye qareeb tumharay
dil ki har aarzooo poori Khuda karay chahnay walon ko kabhi bhi na juda karay
mil jayen tum ko meray bhi naseeb ki khushiyaan dua hay bad tum ko kabhi gham na milai
|
Khabhi Socha Hai Tu Nay Dil Kia Kheta Hai?
Khabhi Socha Hai Tu Nay Dil Kia Kheta Hai? Khabhi Socha Hai Kia Hota Jab Dil Toot ta Hai? Kitna Dard HotaHai ... Jab Aapnoo Say Khauff Hota Hai ... Woh Manzar Bhi Kia Manzar Hota Hai .. Jab Tu Kareeb Reh kar Bhi Door Hota Hai ... Kitna Kamzor Vo Shakhs Hota Hai ... Jo Dost He Ko Dhoka Deta Hai ... itna Bandnaseeb Woh Kyun Hota Hai ... Jo Majmay Main Bhi Aakela Hota Hai... Judaee Ka Ghum Bhi kia Ghum Hota Hai... Kyioun Her Koi Mujh Say Sawal Karta Hai .. Kyioun Mera Dil Her Bar Roo Deta Hai .. Abb Tu Saya Bhi Yeh He Sawal Karta Hai... Kisay TOo itna Khush Rehta Hai...?
|
Tu Bhi Agar na mila to kiya hogga?
Tu Bhi Agar na mila to kiya hogga? Ik Naya Zakham milyga Ik Naya Dard hogga Ik Kasak Dil mein or rah jayegi Yeh Zindagi to Rog ban jayegi Maut ho Naseeb aissa kahan Mera Muqadar Khudkushi karny ki Himmat kahan mujh mein Jeena to parry ga Laikin Yehi Sochta hoon Mein k Zindagi kaisse Basar hoggi Najany Sham se kaisse Sehar hoggi Han magar Dard ki na koi Kami hoggi Ankh mein Ansoon ki Nami hoggi Sukoon to milyga nahi phir kahin DIL par bany Naqsh Mit tay nahi yunhi Yaddien bhi Sanson k Saath Saath Chalti hain Kiss Qadar Aziyat or Kitna Karb Hogga Meharban jany kab Mera RAB hogga Kab Millien gi Rahatain Jeevan mein kab Sukoon hogga Tu to Bhool jayegi Mujhy hai Yaqeen Nai Duniya mein Gum hokar Milly ga Pyar to Nikhar Jayegi Zindagi teri to Sanwar jayegi Dhundhla Jayega Yaddoon ka Aainaa Waqt ki Dhool urr
...
Read more »
|
Jis Din se juda vo humsey hoye,
Jis Din se juda vo humsey hoye, Is Dil ne dharakna chor diya,
Tha chaand ka muh bhi utra utra, Taaro ne chamakna chor diya,
Vo saath hamare rehtey they, Be ruth bhi bahhar aa jaati thi,
Ab laakh baharey aaye to kya, Phulon ,Ne mehakna chor diya,
Ab phul bhi khiley zakhmon ke to kya, Aankhon ne barasna chor diya,
Jab Dua Humney Khuda se Maangi, Key Takdir Badaldey EH Ambreen!!!
Awaaz aayi uske ghar se bhi, HUMNEY TAKDEER BADALNA CHOR DIYA
|
kuch log youn he dil mein utar jate hein kuch log youn he ghum day jate hein zindagi jab mazak karti hai hum se tu sara shar tamasahi ban jata hai mohabbat youn he ho jate hai lakin wafa ka afsana ban jata hai har kise ko pane ki tamana na kar ayy dost waqt ki dhool mein tamaein bhi met jati hai
|
Dua
Maine Khuda se ek dua maangi,..
Dua mein apni mout maangi, ...
Khuda ne kaha mout to main tujhe de sakta hoon magar,...
Uska kya karoon jisne dua mein teri lambi umar maangi
|
Main aaj b wahin hon
Main aaj b wahin hon... Waqt ki dor ne... ik paicheeda mor ne... rukh jo badla hai mera... Main uss simtt nahi hon... Main aaj b wahin hon... Na bandgi ka ajjar mila... Mila hai hijer agar mila... Darr se mager jo na uthi... Main aisi he ik jabeen hon... Main aaj b wahin hon...
Views:
1037
|
Added by:
ROniT
|
Date:
10 Nov 2010
|
| |
|
Login Here
|
Welcome to ShaanSE Poetry
|
 |
ShaanSE Facebook |
|
 |
statistics |
Total online: 1 Guests: 1 Users: 0 |
 |
Members Area |
Users who have visited the site today
|
 |
ShaanSE Facebook |
|
 |
ShaanSE Channel |
|
 |
Dedicated To ShaanSE-1
|
|
 |
Dedicated To ShaanSE-2
|
|
 |
Search |
|
 |
|