Tu Bhi Agar na mila to kiya hogga? Ik Naya Zakham milyga Ik Naya Dard hogga Ik Kasak Dil mein or rah jayegi Yeh Zindagi to Rog ban jayegi Maut ho Naseeb aissa kahan Mera Muqadar Khudkushi karny ki Himmat kahan mujh mein Jeena to parry ga Laikin Yehi Sochta hoon Mein k Zindagi kaisse Basar hoggi Najany Sham se kaisse Sehar hoggi Han magar Dard ki na koi Kami hoggi Ankh mein Ansoon ki Nami hoggi Sukoon to milyga nahi phir kahin DIL par bany Naqsh Mit tay nahi yunhi Yaddien bhi Sanson k Saath Saath Chalti hain Kiss Qadar Aziyat or Kitna Karb Hogga Meharban jany kab Mera RAB hogga Kab Millien gi Rahatain Jeevan mein kab Sukoon hogga Tu to Bhool jayegi Mujhy hai Yaqeen Nai Duniya mein Gum hokar Milly ga Pyar to Nikhar Jayegi Zindagi teri to Sanwar jayegi Dhundhla Jayega Yaddoon ka Aainaa Waqt ki Dhool urry gi Jab Tujhy Fursat milly gi kahan k Beety lamhoon ko Yaad karry Waqt Apna Barbad Karry Teri Apni Zindagi hoggi Har Taraf Khushi hoggi RAB tujh par Meharban hogga Tere Sar par to SAIBAN hogga Han mein magar rahoonga Yunhi Sada Bay Sukoon,Bay Asra!