Zaroori toh nahi ke jeene ke liye koi sahara ho zaroori toh nahi ke hum jis ke hai woh bhi hamara ho kuch kashtiyaa dhoob jaaya karti hai zaroori toh nahi ke har kashti ke liye kinara ho
************
Jee lete hain Koi humein agar kahe bura, dua dekar usse honton ko hum see lete hain Dard ho chahe kaisa, zehar yeh chupke se hum pee lete hain
************
ek woh din tha jab tere nazare mere aankhon se mile phir woh din aaya jab mere ankhon se dard ka aansoon bahe aaj woh din hai jab mere toote dil se lahoo hi nikale kab woh din aayega jab mere seene se tere dil nikelenge
************
Ban sahara be-saharo ke liye ban kinara be-kinaro ke liye jo jeeye apne liye toh kya jeeye jee sakke toh jee hazaro ke liye
************
Dard ko na dekhiye dard se dard ko bhi dard hota hai dard ko bhi zaroorat hai pyar ki aahir pyar mein dard hitoh hamdard hota hai
************
Iss dil ko kisi ki aahat ki aas rehti hai nigaah kokisi soorat ki pyaas rehti hai tere bina zindagi mein kami toh nahi phir bhi tere bina zindagi udhaas rehti hai
************
Wo lamhe humein yaad na rahe toh kya hoga tere siva kuch bhi aabaad na rahe toh kya hoga aisi hai yeh dil ki majbooriyaan kaise batau inn saanson mein ab tera naam na rahe toh kya hoga
************
Zakhm aisa diya ke koi dawa kaam na aaye,, aag aise lagaye ke paani se bhi na bhuj paaye,, Aaj bhi rote hain unhe yaad karke... JISSE HAMARI YAAD KABHI NA AAYE........ ........
************
Duao ki bheed mein ek dua hamari jis mein maangi hai humne har khushi tumhari jab bhi aap muskuraaye dil se samjho dua kabool hui hamari
************
Mere dil ki yahi thi khwahish tujhe apna bana sakku dard-e-dil ka haal sunna sakku tum ne kabhi dekha hi nahi meri taraf pyar se mauka mila hi nahi ke mein dil ki baat tumhe bata sakku
************
Judaai ke yeh lamhe kitne ajeeb hai tu door ho ke bhi mere kareeb hai hum ek ho kar bhi anjaan hai ik dooje se yeh kaise hamare naseeb hai
************
Teri Qurbat mili ..magar tera Sahara na Milaa.. Qareeb puhanch ker bhi Sahil ke Kinara na Mila.. Dekhta Raha Gaur se mai hatheli apniii Magar Mujhay apni Kismat ka Sittara na Mila...
************
yaado main kabhi aap bhi khoye hoge khuli aankho se kabhi aap bhi soye hoge maana hasna hai aadat ghum chupaane ki par haste haste kabhi aap bhi roye hoge-hassan ali
************
rooth gaya hai mujhko manane wala ab koii nahi hai nakhre uthane wala par jaane kyu sochta hai ye khula darwaza shayad rasta bhool gaya hai aane wala
************
ansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo... Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo... dunya kisi ka zakham nahi samjte hai... Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo-hassan ali...
************
Kisi na kisi pe kisi ko aetbaar ho jata hai, ajnabi koi shaks yar ho jata hai, Khubiyon se nahin hoti mohabbat sadaa, khamiyon se bhi aksar pyar ho jata hai.
************
INSAAN KE KANDHO PE INSAN JA RAHE THE, KAFAN ME LIPTE KUCH ARMAN JA RAHE THE, JINHE MILI BEWAFAI MOHABBAT ME, WAFA KI TALASH ME WO SHAMSHAAN JA RAHE THE..
************
Kin lafzon mein itni kadvi kasili baat likhoon, Main sach likoon ke apne haalat likhoon, Kaise likhoon main chandni raatein, Jab garam ho ret to kaise main barsat likhoon.
************
Sabhi nagme saaz mein gaaye nahi jaate, sabhi lowg mehfil mein bulaaye nahi jaate, kuch paas reh kar bhi yaad nahi aate, kuch door reh kar bhi bhoolaye nahi jaate!
************
Who IK Dost jo pyara sa Lagta Hain, Bahut Pass Hai Dil k Phir bhi Juda Sa Lagta hain, Bahut Dino Se Aaya Nahi Koi Paigam Uska, Shayad Kisi Baat Pe Khafa sa Lagta hain-hassan ali
************
zindagi to ek khwab hai, woh zindagi kiya jismay khwab nahi hotay, hath ke lakiron ko kismat na samajhna, kismat unke bhi hote hai, zinkay hath nahi hotay.
************
Ro Chuka Hu Me Itna Mujhe Kya Rulaega Koi, Sun Chuka Hu Me Sab Kuch Mujhe Kya Bataega Koi, Azmana Chahte Ho To Azmake Dekh Lo Mujhe, Main Ek Bujhi Hui Shama Hu Mujhe Kya Bujhaega Koi !!!!!
************
Jab mujhe chorr ke ek din tu chali jaaye gi kasam khuda ki mujhe teri yaad bohat aaye gi jab kabhi lage gi towkar tere pathar dil ko tab ja kar kahin tu apne kiye pe pachtaaye gi
************
AshkoN ko humne kayi baar roka, phir bhi na jane kyoN ankheN dhoka de gayi, Bharosa to tha hameiN apne aap par magar, unka zikr aate hi naa jane kyoN palkeN nam ho gayi.
************
jaane waale chale jaate hain dost...... yaadein bhi khaak ho jaati hain..... bas kuchh palon ki baatein hain..... fir to parchhai bhi saath chhod jaati hai...
************
KABHI HUM BHEEGTE HAIN CHAAHTON KI TEZ BAARISH MEIN........ KABHI BARSON NAHI MILTE KISI HALKI SI RANJISH MEIN........ .. BOHUT HAIN ZAKHAM IS DIL MEIN MAGAR EK ZAKHAM AISA HAI...... JAL UTHATA HAI RAATON MEIN JO LOTA DETA HAI BAARISH MEIN......
************
Jis shaam mere lab per tera naam na aaye..., Khuda kare aisi shaam na aaye...; Aai jaane wafa, ye kabhi mumkin hi nahin..., Afsaana likhnu aur tera naam na aaye..!!!!
************
Wishwas ban ker log jindgi me ate hai wo khwab banker ankho me sama jate hai wo pahle to yakin dilate hai ki wo hamare hain fir jane kuo tanha bana jata hai wo.
************
Log apna banake chhod dete hain, Rishta gairo se jod lete hain, Hum to ek Phool bhi na tod sake, Log to dil bhi tod dete hain,
************
Ankho Me Mehfooz Rakhna Sitaro Ko Aab Dur Talak Sirf Raat Hogi Musafir Tum Bhi Ho Musafir Hum Bhi Hai Kisi Na Kisi Mod Par Fir Mulakat Hogi..
************
Silsila pyar ka na khatam hua,, juda hokar bhi ishq na kam hua,, Vaada jinse kiye humse,, Woh dard dekar,,Bewafa hua......... .
************
Bhari mehfil mein tanha mujhe rehna sikha diya, Tere pyar ne duniya ko jhoothha kehna sikha diya, Kisi dard ya khushi ka ehsaas nahin hai ab to, Sab kucch zindagi mein chup-chaap sehna sikha diya