Kia khabar tum ko dosti kia hai Ye roshni bhi hai andhera bhi hai Khwahishon say bhara jazeera bhi hai Bohat anmol ik heera bhi hai
Dosti ik haseen khwab bhi hai Pass say dekho tou sarab bhi hai Dukh milnay pe ye azab bhi hai Aur ye piyar ka jawaz bhi hai
Dosti yoon tou maya jaal bhi hai Ik haqeeqat bhi hai khayal bhi hai Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai Kabhi zameen kabhi falak bhi hai
Dosti jhoot bhi hai such bhi hai Dil main reh jaiay tou kassuk bhi hai Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai Dosti saaz bhi sangeet bhi hai Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai Wafa kia hai wafa bhi dosti hai Dil say nikli dua bhi dosti hai Bus itna samajh lay tou____________ Piyar ki inteha bhi dosti hai
aankho se toote hain sitare to kya hua chalte nahi woh sath hamare to kya hua tanhaiyo ne mujh ko gale se laga liya woh ban sake na dil se hamare to kya hua!
Jab dil toot jata hai to awaz nahi aati..... Har kisi ko muhabbat raas nahi aati..... Ye to apne apne naseeb ki baat hoti hai.... Koi bhulta nahi or kisi ko yaad nahi aati....
*Suno Qismat se ladne ki Kabhi koshish nahi karte* *Muqaddar jab mukhalif ho Duaain be-aser jayen Sabhi manzar bikher jayen To aise main baghawat ki Kabhi koshish nahi karte* *Kisi ke saath chalne ki Kisi ke Dil main basne ki Kabhi khuwahish nahi karte* *Kisi ek shakhs ki khatir Sabhi se door ho jaana Kahan ki yeh Mohabbat hai? Mohabbat yeh nahi hoti Mohabbat Dil main hoti hai* *Mohabbat aks hai RAB ka Kabhi yeh mar nahi sakti Hamesha saath rehti hai Hamesha saath chalti hai* *Mile jo humsafar tum ko Us hi ke saath chalna tum Usse dharkan bana lena Usey Dil main basa lena Mager Qismat se larrne ki Lakeron se ulajhne ki Kabhi koshish nahi karte*