Jaanti hoon tumse bohot pyaar kerti hoon,, Lekin kehne se dartii hoon. jaanti hoon tum sirf mere ho fir kyun tumhe khone se dartii hoon,, jaantii hoon yeh duniya ek dhoka hai fir b iss mein jeeti hoon… janti hoon tumhare paas mere liye waqt nahi fir b tumhara intezaar kerti hoon.. janti hoon tum bewafa ho fir b wafa ki talabgaar hoon,,, janti hoon tumhe khudse zyada chahti hoon,,, lekin halaat k aage majboor hoon.. janti hoon tumhare liye khoob roti hoon,, lekin in nam ankho ko sab se chupa k rakhti hoon..
tumhary na honey sey kuch bi nahin badla, ye soraj bi wahan sey niklta hay asman pey tarey bi chamktey hain or chand ki chandni bi hoti hay hawa bi chalti hay darya bi behtay hain phool bi khiltey hain in main kushbo bi hoti hay…………lakin……… na janey kiown tumharey na honey se har cheez adhori si lagti hay har subha shamm si lagti hay har muskan odas si lagti hay har mehfil anjan si lagti hay har darkhan bejaan si lagti hay such to ye hay k sari dunia ab hum ko weran si lagti hay
Kal uski yaad puri raat ati rahe.. Hum jage puri duniya soti rahe.. Aasman mai bijli puri raat hoti rahe.. Bas ek barish thi jo mere sath roti rahe..
raat ki tanhai mai jab naam usko pukara, har sitare ne uska naam dohraya, ah gaye ashq bhi humari ye mehfil mai, jab uski duri ka ehsaas chand ne dilaya..
Parshan Hai Dil Aur Zindagi Udas Bhi, Tanha Hu Mai Aur Sab Kuch Mere Paas Bhi, Lagta Hai Mai Hu Phar Mai Hu Bhi Nahe, Sab Kuch Mila Bhi Jeyse Kuch Mila He nahe…!!
Na Mila Dil Ka Qadar Daan Iss Zamaney Mein Ye Sheesha Toot Gaya Daikhney Aur Dikhaney Mein
Jee Mein Aata Hai Ekk Roz Shama Say Poochoon Maza Kis Mein Hai, Jalney Mein Ya Jalaney Mein ??
Kash key tum namm aankhon se… Ek baar bas itna keh detay… Kiya chhorr gaye thay paas meray… Aur ab kiya lainay aye ho… Main khamoshi sey sunn leta… Gham sehh leta dukhh chunn leta… Kuch dard key aansoo ro leta… Tum se sharminda ho leta… Tum keh na sakay hum ro na sakay… Dil pehlay jaisay ho na sakay… Tum afssurda hum sharminda… Shab bhar dono so na sakay… !!!
Apni Zindagi ki her Shaam Tere Naam kardoon, Teri hi Aankhon ka Jaam Tere Naam kardoon, Main Doob jaoon Teri in Jheel si Gehri Aankhon mai, Phir apni Barbadi ka ilzam Tere Naam kar doon, Mai apni Rooh ko Tere Wajood mai bhardoon, Phir apni Zaat apna her Payam Tere Naam kardoon, Tuu Mujhey Mohabbat ka Agaaz de Sanam, Mai Apne Pyaar ka Anjaam Tere Naam kardoon, Mohabbaton ke Qaseeday likhoon Teri Sanaa mai, Hazaron Pyaar ke Peghaam Tere Naam kardoon, Ho jiska Zikar Mohabbat ki her kahani mai, Ek aisa Pyaar ka Peghaam Tere Naam kardoon…….
tum kasi muhabat karte ho? tu jahan bhi beath k jate ho. jis cheez ko hath lagate ho. main wohain per bathi rahti hun. us cheez ko chooti rahti hun. main asi muhabat karti hun. tum kasi muhabat karte ho? tum jis se hans kar milte ho. main usko dost bnaati hun. tum jis raaste pe chalte ho. main us raste pe aa jati hun. main asi muhabat karti hun. tum kasi muhabat karte ho. kuch khuwab sajha kar aankhon main. palkon se moti chunti hun. tum se milne julne k. kitne hi bahane rakhti hun. main asi muhabat karti hun. tum kasi muhabat karte ho.
December Kay Mahinay Ka Woh Shaid Akhri Din Tha Baras Guzray Kayen Main Nay ?Mohabat? Lafz Likha Tha Kisi Kagaz Kay Tukray Per! Achanak Yaad Aya Hay Baras Guzray Kayen Muj Ko Kisi Say Bat Kerni Thi Usay Kehna Tha Jaan-Nay Jaan! ?Mujay Tum Say Mohabat Hay? Magar Main Keh Nahi Paya Woh Kagaz Ag Tak Lipta Para Hay Dhool Main Lakain Kisi Ko Day Nahi Paya Dobara Cha Ker Bhi Main Mohabat Ker Nahi Paya!
Jissay Tum Zindagii Jano Tumhain WO Rog Kahta Ho Kay Jis Nay Khud Hi Chahat Say Tumhara Haath Thama Ho Wo Apnay Dil Kay Darwaze Tum Hi Per Band Kar Day To Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai Tumhain Sangsar Kar Nay KO Jo Sang Bantay Loogon Mein Saba KO Roknay KO Qafal Dalay Dareechon Mein Kar Kay Band Ghar Kay Saans Per Pehray Lagay To? Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai Ye Kis Nay Kah Diya Tum Say Mohabbat Mar Nahi Sakti Kay Jab Koi Tumhain Jaan Say Guzar Janay KO Kahta Ho Aadhi Raah Mein Khud Hi Mur Janay KO Kahta Ho Wo Apni Bewafai Ka Khud Hi Aitraf Kar Lay To? Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai