Jo chaha wo na mil saka jo na chaha wo mil gea aj bethi hoon is soch mai k Khuda ko is se kia mil gea wo jo chala gea wo na a saka wo jo a gea wo na ja saka meray husn ka gr kamal tha mujhay hr ghum kion mil gea daikho..!! phir se mai sochti hoon k Khuda ko is se kia mil gea..!!
Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ? Main To Bus Khamosh Sa Sha‘Ir Ulfat Chahat Ke Rango Se Dil Ki Khali Tasveero Me Koi Mohabbat Likh Deta Hoon ? Aur Kabhi Deewar Se Lagkar Koi Mohabbat Ro Deta Hoon ? Aur Kabhi Aankho Aankho Mein Saari Baatein Keh Jata Hoon ?. Main To Ek Khamosh Sa Sha‘Ir Mujhko Baatein Kab Aati Hain ??? Mujh Ko Baatein Gar Aati To Tum Kiya Mujh Ko Chhor Kar Jaati ??? Mere Sapne Tod Kar Jaati ??? Kiya Meri Aankho Mein Dukh Ke Itne Aansoo Dekh Sakti Thi ??? Mera Kul Sarmaya Tha Jo Kiya Mujhse Woh Le Sakti Thi ??? Mujh Ko Baatein Gar Aati To Main Bhi Tumse Woh Sab Kehta Jo Tum Sunne Ki Khwahish Mein Saare Raaste Bhool Aayi Ho Saare Rishte Bhool Aayi Ho Main Thera Khamosh Sa Sha‘Ir Mujh Ko Baatein Gar Aati To Tum Bhi Mere Khwab Sajaati
... Read more »
Ajeeb khwahish hai shehr walon se chup chupa kar kitaab likhoon Tumhare naam apni zindagi ki kitaab ka intesaab likhoon Yahi boht hai ke en labon ko sehra se mehroom kar ke rakh doon Magar ye kaisi masalehat hai samandaron ko saraab likhoon....
Wo Aankhein Meri Aankhein To Nahi Phir Bhi Wo Jo Kuch Dekhti Hain Dekhti Rehti Hain Main Bhi Dekhta Hoon Dekhta Rehta Hoon Jis Se Rooth Jaati Hain Main Us Se Rooth Jaata Hoon Wo Jis Se Pyaar Karti Hain Main Us Se Pyaar Karta Hoon Wo Aankhein Meri Aankhein To Nahi Phir Bhi Wo Jo Kuch Sochti Hain Sochti Rehti Hain Main Bhi Sochta Hoon Sochta Rehta Hoon Jis Dam Muskuraati Hain Main Us Dam Muskurata Hoon Wo Jab Afsurda Hoti Hain To Main Afsurdsa Hota Hoon Wo Aankhein Meri Aankhein Ho Nahi Sakteen Magar Phir Bhi Diwaana Hoon Jo Un Ko Chaahta Hoon, Chaahta Hoon Chaahta Rehta Hoon