Merey sabar ka na ley Imtehaan Meri khaamoshi ko sada na dey Jo terey baghair na jee sakey Usey jeeney ki to duaa na dey
Tu azeez Dil-o-nazar sey hai Tu qareeb Rag-o-jaan sey hai Merey Jissm-o-jaan ka yeh faisla Kaheen waqat aur barha na dey
Tujhe bool ke bhi na bulaa sakoon Tujhe chah ke bhi na pa sakoon Meri hasraton ko shumaar kar Meri chahaton ka silaa na dey Wo tarap jo shula-e-jaan mein thi Merey tan badan sey lypat gaye Jo bujha sakey to buja isey Na bujha sakey to hawa na dey
Tujhe agar milein kabhi fursatein Meri shaam phir sey sanwaar dey Agar qatal karna hai to qatal kar Yoon judayioon ki saza na dey