TooTne lagte hain ham to,bikharne lagte hain "Kabhi kabhi jo tujhe yaad karne lagte hain" In ki hiddat se dil-o-jaan na pigHal jaayein Apne jazbaat ki shiddat se Darne lagte hain Dekh kar ham ko jo haq-goi par ho aamaada To pesh-e-aaina bhi ham mukarne lagte hain Koi jo pooch le ham se udaasiyoN ka sabab Tuhmatein iss pe,kabhi uss pe dharne lagte hain Ye kaise log mere ird-gird baste hain Hon jis k saamne,dam uss ka bharne lagte hain Ham apni khwahishoN k be-karaaN samandar mein Doob jaate hain magar phir ubharne lagte hain Itne hassaas k aankhoN se juda hone par Ham ko maaloom na tha,khwab marne lagte hain!
Kisi Kay Pass Anay Say Kisi Kay Door Janay Say Mohabat Kam Nahi Hoti Kisi Ko Azmanay Say Jinhain Hum Yad Rakhtay Hain Woh Hum Ko Bhool Jatay Hain Nahi Hota Asar Enn Per Abb Ashkoon Ko Bahanay Say Dil e Betab Main Surat Teri Esi Sajaee Hay Kabhi Mitt Nahi Sakti Kisi Kay Mitanay Say Bichartna Thaa Muqadar Main Kissi Say Kiya Gilaa Magaar Nahi Shikwa Muqadar Say Naa Shikwa Hay Zamanay Say Andheri Raat Hay Barish Hay Our Main Bhi Tanha Hoon Nahi Maloom Ho Ga Kiya Faqat Dil Jalanay Say
tera andaaz yaad aaya hai yeh bhii kuch manzilon se kam to nahin raasto mein jo khoya paaya hai tum numaaish liye ho daaghon ki hamne zakhmon ko bhi chupaya hai koi marta nahin kisi ke liye hamne duniya ko azmaya hai waqt-e-hizraan ya vasl ho 'barham' hamne dono mein tujhko paaya hai
!!..Hum Nay Tou Khair Say Shikayat Kabhi Na kii..!! !!..Aisa Nahi Kay Dill Nay Bagawat Kabhi Na Ki..!! !!..Kis Haal Main Hain Taray Sataye Hue loog..!! !!..Tou Nay Yeh Poochnay Ki Zehmat kabhi Na Kii..!! !!..Mehsoos Kiya Karo Gay Woh Aoroun Kay Dard Ko..!! !!..Jis Ny Khud Apny Aap Say ulfat Kabhi Na Ki..!! !!..Chaha Hai Main Nay Jiss Ko Barii Siddaton Kay Sath..!! !!..Us Tarhan Say Us Nay Mujh Say Mohabbat Kabhi Na Ki..!! !!..Har Dastaan teri Bohut Ghour Say Suni..!! !!..Lykin Biyaan apni Shikayat Kabhi Na Ki..!! !!..Eik Khowab Tha Apni Shaboon per Raha Muheet..!! !!..Kiya Khowab Tha Kisi Say Wazahat Kabhi Na Ki..!! !!..Eik Aag Thi Kay Jalta Raha Jis Main Umar Bhar..!! !!..Eik Dard Tha Kay Jis Main Khayanat Kabhi Na ki..!!
koi ehad bhi us ko yaad nahi koi baat bhi us ko yaad nahi ik shaks na us ko chaha tha wo baat bhi us ko yaad nahi jab shab ki bijli chamki thi aur badal toot k barsa tha hum dono jis main bheegay thay wo barsaat bhi us ko yaad nahi wo shail,darya,phool,hawa wo wadaa saath nibhanay ka aur shab bhar chaand ko dekha tha wo raat bhi us ko yaad nahi
Woh Naam Mera Hi Toh Hota Hai Haatheli par jise likhti mitati ho Woh naam mera hi to hai Mehndi jiske naam ki rachai hai tune Woh naam mera hi to hai Sunke jisko palke teri jhuk jaati hai Woh naam mera hi to hai Dil pe tere jo naam likha hai Woh naam mera hi to hai Tere honthon pe jo kaanp raha hai Woh naam mera hi to hai Dhadkan mein jo teri gunj raha hai Woh naam mera hi to hai Apna naam jisse joda hai tune Woh naam mera hi to hai Tere naam ke bina jo adhura hai Woh naam mera hi to hai.......