WAFA MAIN AB.........
Wafa main ab ye hunar ikhtiyar karna hai
Wo sach kahe na kahe eatabar karna hai
Ye tujh ko jagte rahne ka shouq kab se howa ?
Mujeh to khair tera intizar karna hai
Hawa ki zad main jalaey hain aansowon k chiragh
Kabhi ye jashan sar e rahguzar karna hai
Wo muskura k naye waswason main daal gya
Khiyal tha k use sharmsar karna hai
Chalo ye ashk hi moti samjh k bech aaen
Ksi trah to hamen rozgar karna hai
Khuda khabar ye koi zid k shouq hai mohsin
Khud apni jan k dushman se pyaar karna hai