main Aesi Aam Larki Hun jise Samjha Nahi Koi!! ju Sare Khel Bachpan K khilonoun Main Sajati Thi ju Apne Dil K Sab Manzar rangoun Se Banati Thi ju Kuch Pane Ki Koshish Main yunhi Haley Banati Thi kitaboun Se Sabhi Haley jala Paya Nahi Koi main Aesi Aam Larki Hun samajh Paya Nahi Koi kisi Din Un Khyaloun Main muhabbat Ki Chamak Bhi Thi magr Aesi Chamak Us K khwaboun Tak Hi Rehti Thi usi K Un Khwaboun Ne yunhi Bas Ankh Kholi Thi parhe Tukre Thay Khwaboun K bhari Ranjish Se Jholi Thi usi Jholi K Kuch Dhabbe mita Paya Nahi Koi main Aesi Aam Larki Hun samajh Paya Nahi Koi wo Hansti Khelti Ankhein yunhi Ashkoun Main Dikhti Thin wo Zinda Manzaroun K Rang phatey Kaghaz Main Rakhti Thi na Bachpan Sath Tha Uske jawani Uspe Roti Thi magar Kuch Din Udasi Se guzarey Ab Thakan Si Hai ju Tufa_n Ankh Se Guzre koi Be Bas Jalan Si Hai jalan Aesi K Jis K Rang hata Paya Nahi Koi main Aesi Aam Larki Hun samajh Paya Nahi Koi usi Khamosh Larki Ko bohat Batein Batani Hain muhabbat Main Baharoun Se koi Khushbu Sajani Hai agar Chaho Tu Tum Kardo amar Karni Kahani Hai main Aesi Aam Larki Hun samajh Paya Nahi Koi agar Chaho Samajh Lo Tum mukammal Aas Kardo Tum bohat Din Aam Guzre Hain mujhe Ab Khas Kardo Tum.....!!!