Jab mein haar jaati hoon ... Jab mein haar jaati hoon Haan ... Jab mein haar jaati hoon Mein laut nahee paati Bas thehar jaati hoon Log jab haartay hain tu Gharoon ko laut jaatay hain Magar mein tu ruk jaati hoon Aur mere baal dhool se att jatay hain Meri paoon thakkan se shall Magar mein bas ek jagah khari Patthar aankhoon aur pathar dil se sab ko dekhti jati hoon Kyon ke Mein buzdil hoon Mujh mein lautnay ki himmat nahee hoti Mein darti hoon Mein laut gaee tu Mere dil ki aag dheemi par jaayegi Mere muqabil ki khushi ki tarah Is liye Jab mein haar jaati hoon Mein ruk jaati hoon Ke jeetne waloo ko koi dukh na ho Meri kami bhi mehsoos na ho Bhala jeetne waloo ko koi pachtawa kyon ho Sazaayain tu Haarne waloo ka maqsoom hoti hain Jab mein haar jaati ho tu ro bhi nahee paati Kyon ke Muhabbaton ka soug nahee manaatay Shikasatoon ko roug nahee banaatay Mein bas hansti jaati hoon Meri khushk aankhain aur patthar qeh'qahay Meri rooh ko Pyaasa aur zakhmi kar dete hain Magar mein hansti rehti hoon Kyon ke Mein buzdil hoon Mujh mein rone ki himmat nahee hoti Mein darti hoon Mere aansoo Kisi ki saza na ban jaayain Jeet ka taana na ho jayain Aur phir Jo mujh se lartay hain Woh mere apne hotay hain Mere muqabil Meri muhabbat mere sapnay hotay hain ...