Na who farishta ho na farishtey jaisa ho Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho
Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho
Meri khatir marney ka hosla bhi rakhta ho Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to
Muskra key manayee, woh aisa ho
Jo baat karey to woh nibha bhi sakey
Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho Dukhon mein hansney ka hunar janta ho
Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho
Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho Umar bhar saath chalney ka azam-e-wafa rakhta ho
Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho
|