kab aaoge kab aaoge jism jaan juda hogi kya tab aaoge der na ho jaye kahin der na ho jaye aaja re ke mera man ghabraye der na ho jaye kahin der na ho jaye
kahan hai ronake mahfil yahi sub poochte hai barha tere na aane sabab puchte hai der na ho jaye kahin der na ho jaye
har baat ka wakt mukarar hai har kaam ki saat hoti hai wakt gaya to baat gayi bus wakt ki kimat hoti hai der na ho jaye kahin der na ho jaye aaja re ke mera man ghabraye der na ho jaye kahin der na ho jaye
rasta roka kabhi kali ghata ne ghera dala kabhi baren hawa ne bijli chamak ke lagi aankhe dekhane bedle hai kaise kaise tevar faza ne sare vade irade barshaat aake dho jati hai main der karta nahin der ho jati hai der na ho jaye kahin der na ho jaye aaja re ke mera man ghabraye der na ho jaye kahin der na ho jaye
dil diya aitbaar ki had thi jaan di tere pyaar ki had thi mar gaye hum khuli rahi aankhe yeh tere intezar ki had thi had ho chuki hai aaja jaan par bani hai aaja mehfil saji hai aaja ke teri kami hai aaja der na ho jaye kahin der na ho jaye
aaho ki kasam tujhe naalo ki kasam hai khawaboo ki kasam tujko khayaalo ki kasam hai In bajte chiraago ke ujalo ki kasam hai aaje ke tujhe chahnewalo ki kasam hai der na ho jaye kahin der na ho jaye aaja re ke mera man ghabraye der na ho jaye kahin der na ho jaye
aaja ve mahi tera rasta ho dekhdiya dar se hatti nahin nazar aaja aaja dil ki pukar par aaja der karna teri aadat thi sahi der se hi sahi magar aaja aaja ve mahi tera rasta ho dekhdiyan