Main » 2012»April»2 » Aur Phir Ana Key Paoon Peh Sir Rakh Diya
1:01 PM
Aur Phir Ana Key Paoon Peh Sir Rakh Diya
Kal Hamesha Ki Tarah Us Ney Kaha Yeh Phone Per Main Bohut Masroof Hoon Mujh Ko Bohut Sey Kaam Hain Is Liyey Tum Aap Milney Main To Aa Sakti Nahi Her Rawayat Tor Ker Is Baar Main Ney Keh Diya Tum Jo Ho Masroof To Main Bhi Bohut Masroof Hoon Tum Jo Ho Mashhoor To Main Bhi Bohut Maroof Hoon Tum Ager Ghamgeen Ho To Main Bhi Bohut Ranjoor Hoon Tum Thakan Sey Choor To Main Bhi Thakan Sey Choor Hoon Jan-E-Man Hey Waqt Mera Bhi Bohut Hi Qeemti Kuch Puraney Doston Ney Milney Ana Hey Abhi Main Bhi Ab Farigh Nahi Mujh Ko Bhi Lakhon Kaam Hain Warna Kehney Ko To Sab Lamhey Tumharey Naam Hain Mery Ankhain Bhi Bohut Bojhal Hain Sona Hey Mujhey Ritjagon Key Baad Ab Neendon Main Khona Hey Mujhey Main Lahoo Apni Anaon Ka Baha Nahi Sakta Tum Naheen Ateen To Milney Main Bhi Aa Sakta Nahi Us Ko Yeh Keh Key Wasi Main Ney Reciever Rakh Diya Aur Phir Ana Key Paoon Peh Sir Rakh Diya