DUkhOun Kii Shidatien ZakhmOun Kii Gehraii mUjhey Dey Do MaSeeha tUm Sahii Izn e MaSeehaii mUjhey Dey Do TUm Apni Zaat Mein KhUd AnjUman Ho TUm Ko Kya Gham HAi Main TAnhA HOn Yeh Bazm e zOuq e TAnhAii MUjhey Dey Do TUm Apney Dil Key Darwazey MUkaffal ShOuq Sey Kar Lo Bas Apni Zaat Sey Izn e ShanaSaii MUjhey Dey Do TUmharey Baad Har Manzar MUjhey Be-Rung Lagta HAi Yeh Aankhien Cheen Lo Yeh Apni Beenaii MUjhey Dey Do Main SansOun Mein Samo LOon Ga TUmhrii Har Amanat Ko Yeh WehShat-Naak SaNnatey Yeh TAnhAii MUjhey Dey Do Meri ShOhrat TUmharey Kaam Aa Jaye To Haazir HAi TUmhien DUnya Ney BakhShii hAi Jo TAnhAii MUjhey Dey Do Main Shair hOn Meray Be-Kaif Be-TaSeer LafzOun Ko Amar Kar Do TUm Apney GhUm Kii Ra’anaii MUjhey Dey Do
Ye ajeeb marhalay hein ye ajeeb silsilay hain Ke jahan se hum chalein hain ussi mour per kharay hain Wohi rasta hamrah hai wohi dagarr hamari Jo na jaa'ye manziloon tuk ye wohi tu raste hain Rahay saath saath hur pal na guman howa ye mil ker Jisse dosti thay kehte ye aur hee silsilay hain Ye sarab tu nahi hai, koi khwaab tu nahi hai Ye aap hee bataye ye jo hum mein faaslay hain Nahi mumkin us ko pata tu us se kion milay hum Kerein justajoo bhee kion is soch mein paray hain Meri Qurbaton se pehle zara jurato`n se pehle Meri jaan soch lena ye rastay kerray hain..