Site menu
Section categories
Calendar
Entries archive
Search
Tag Baord
ShaanSE Poll
Main » 2011 » July » 25
They had been together for many a year, Now all she can feel is fear. She gave all that she could give, It just wasn't the way he wanted to live. He left without a backward glance, Not even giving their love a chance. She often wonders what she could have done, To keep him from going on the run. Now she is living all alone, With nothing she can call her own. She can barely make herself eat, Wondering if her life will again be complete. This woaman is now moving along, Building her courage, and becoming strong. Time will heal her broken pride, Towa
...
Read more »
jaise jaise shaam dhallay gi dil ki wahshat oar bharay gi taare soachte rehte hain buss chaand ki dulhan kon banne gi chahne walo such such bolo kitni chahat oar mille gi deepak raag nah charay koi such kahta hoon aag laggay gi churahay pe soach raha hoon kiss rah pe taqdeer mille gi kitna oar hai safar baaki kitni gaari oar challe gi
jindgi Ka Ajab Dastuur Dekha, Jisse Chaha Usse Majboor Dekha, Dil Ke Ek Chhote Se Jakham Ko, Hamne Bante Huye Naasur Dekha, Wafa Karna Hi Mera Kasur Tha, Bewafa Ko Hamne Bekasur Dekha, Gumnami Men Guzri Jindgi Apni, Uss Par Shohrat Ka Saroor Dekha....
Meri Har Ek Ada Mein Chhupi Thi Meri Tamanna, Tum ne Mehsoos Na Ki Ye Aur Baat Hai.. Maine Har Dam Tere Hi Khwab Dekhe, Mujhe Tabeer Na Mili Ye Aur Baat Hai.. Maine Jab Bhi Tujh se Baat Karni Chahi, Mujhe Alfaz Na Mile Ye Aur Baat Hai.. Main Meri Tamanna Ke Samundar Mein Door Tak Nikli, Mujhe Saahil Na Mila Ye Aur Baat Hai.. Qudrat Ne Likha Tha Tujhko Meri Tamanna Mein, Teri Qismat Mein Main Na Thi Ye Aur Baat Hai...
teri subha bhi meri hai teri shame bhi meri hai tere din ka har ek hissa tum mere naam hi karna tujhi se mujh ko ulfat hai tujhi se mujh ko chahat hai apni dil ki muhabbat ko tum mere naam hi karna mai jab bedar hoti hu tere deedar ko tarsu mai jab karwat badalti hu to tere pyar ko tarsu meri yaadein bhi teri hai meri baatein bhi teri hai apne sapnau ko bhi humdum tum mere naam hi karna tum mere paas hote ho to ek ehsaas hota hai tum mere saath hote ho wo pal kuch khaas hota hai muhabbat me judai hai judai me bhi ch
...
Read more »
Woh Bhale Hi Humein Bhul Gaye Ho Lekin Humein Toh Woh BEte DIn AAj Bhi Yaad Hai Woh Bhale Hi Humein Bhul Gaye Ho Lekin Humein Toh Un Saanson Ka AAj Bhi Ehsaas Hai Woh Bhale Hi Humein Bhul Gaye Ho Lekin Humein Toh Un Raasto Pe AAj Bhi Intezaar Hai Woh Bhale Hi Humein Bhul GAye Ho Lekin Humein Toh Us Awaaz Ka AAj Bhi Saaz Hai Woh Bhale Hi Humein Bhul Gaye Ho Lekin Humein Toh Unse Aaj Bhi PYAAR Hai....
Jab yaad-e-maazi kar k roya karo ge tum Na neend aaye gi na soya karo ge tum Us waqt meri yaad tumhe bhot sataye gi Jab kisi se aankh milaya karo ge tum Tarpay dil aur aah b na nikle gi zubaan se Chup chap aansoun ko bahaya karo ge tum Jazbat mein a k jala di meri saari yaadein Ab kis tarah ji ko bhelaya karo ge tum Mout to barhaq hai juda kar he de gi Waada karo meri qabar pe aaya karo ge tum
RAAT KA AKHRI PEHAR THA ! Mujhse Chand Ne kaha! ” Hamnasheen Alwida! Mujhko Neend Aa Rahi Hai! Kal Milenge Isi Jaga! ” Main Sun kar Muskura Di! Usko Batla Dia! ” Jane Wale Laut’Te Nahi! Tum Nahi Aoge! Mujhe Hai Yakeen! ” Meri Baat Sun k wo Ruk Gaya Aur kehne Laga.. ” Tumse Waada karon! Phir Poora Na karon... Aisa Mumkin Nahi... Sun Aay Hamnasheen. ” MAIN INSAAN TO NAHI ”.......
hazaroon dooriyan hain per yeh rishta toar mat daina mera chehrah bhulaa daina meri yaadain bacha laina jo lamhay dard daite hoon unhain be shak bhula daina jo lamhay aas daite hoon unhain dil se lgaa laina kahin b door reh laina,bohat majboor reh laina magar iss DOORI ko tum bahana mat banaa laina taaluk toar mat daina, mujhe tum chor mat daina
Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya... lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan chehra bata raha tha k kuch ganwa diya.. aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya.. jane kya us ko logon sey thi shikayatein tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya.. khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya.....
...
Read more »
Login Here
Welcome to ShaanSE Poetry
ShaanSE Facebook
statistics
Total online: 3
Guests: 3
Users: 0
Members Area
Users who have visited the site today
ShaanSE Facebook
ShaanSE Channel
Dedicated To ShaanSE-1
Dedicated To ShaanSE-2
Search