kuch ankahey sawal hain is dil mein kuch adhoori si kashish hain mujh mein kaisey kahoon tumsey tumko chahney ki saza hain kismat mein........
kuch paana kuch khona hain zindagi mein kuch ehsaas ji sey churana hain mohabbat mein kaisey kahoon tumsey tumko dekhna aarzoo hain meri har pal mein........
kuch toh the pal tumko hasaney mein kuch toh the lafz tumko paas bulaaney mein kaisey kahoon tumsey tumko humsafar banana hain khwaish meri har saans mein........
Ek wo ki fakhat rooth jaane k liye tha, Aur mai ki use roz manaane k liye tha Hum jiski tamanna main hue taarike duniya Wo shakhs kisi aur zamaane k liye tha Gairon k liye yumne jise tod diya tha Wo ahde rafakat hi to nibhane k liye tha Har baar wo dhone se numaaya hi hua hai Ek daag jo is dil se mitaane k liye k tha Usko to kabhi mujhse mohobbat hi nahi thi Ye khel to duniya ko dikhane k liye tha
Apne aap se baatein karne ki aadat si ho gayi... Humein to ab apna dil jalane ki aadat si ho gayi... Karte the jise pyaar hum jaan se bhi jyada Aaj usse bichar kar tarapne ki aadat si ho gayi... Ye duniya hi chor doon gar keh de wo Humein to Zindagi se apni nafrat si ho gayi.... Zindagi ke jue mein hum muhobbat hi haar baithe Is haar ke baad to jaise haarne ki aadat si ho gayi... Ab kya bataein kitne toofan guzre is dil par Ab to jaise Zindagi hamari khatam si ho gayi.....
kuch dard ab bhi baki hai sene mein..... kuch khwaishey ab bhi baki hai sene mein, tum bahot dor ho mujhse phir bhi...... tumhari yaad ab bhu baaki hai mere seene mein, tumhe meri yaad chahe aye na aye...... mera har lamha guzarta hai tumhe hi yaad karne mein, hum miljaate yeh manzoor na tha khuda ko...... bas yahi kami reh gayi mere jeene mein, jee to rahe hai hum iss duniya mein tere bina........ par kya faida aise akele jeene mein, kuch dard ab bhi baaki hai seene mein......... kuch khwaishey ab bhi baaki hai seene mein.
Teri mehfil se ye deewana chala jayge, shama jalti rahe parwna chala jayga. Kissa e derd sunane ki izazet na mili, Kya mila mujhko jo teri mohabbat na mili. Derd ka leke wo afsana chala jayega.
Pyar ke phool yahan aur khil jayenge, chahne wale abhi aur bhi mil jayenge, apne reh jayange begane chale jayenge.
Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta Mandiron se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai Hazaron khwab ankhon mei saja kar kuch nahi milta Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta Amal ki sookhti rag mei zara sa khoon shamil kar Mere humdam faqt batein bana kar kuch nahi milta Mujhe aksar sitaron se yeh awaz aati hai Kisike hijar mei neendein ganwa kar kuch nahi milta Jiggr ho jayega chalni yeh ankhein khoon royengi Ae dil Be faiz logon se nibah kar kuch nahi milta.